kaffarah? awwal to aap dounouN ko apni yeh ghalati "khufia" rakhtay howay Allah taa'aala say taubah karni cahiyeh aur jald az jald baham shadi karkay ayandah gonaahouN say door rahna achhaiyeh...
Islami shariyat k motabiq to unmarried k iss qism k kaamouN ki sazaa /gonaahouN ka kaffarah ghaleban 100 koRay haiN aur married k liyeh sang.saar (stoning till death) hai. agar koi disqay dil say okhrawi sazaa say bachnaa chaahay to dunyaa maiN in sazaaoun ki razakaraanah taur par qabool kar lay...
hazrat Muhammad sallallaho alaihay wasallam k pass aik married aurat aayee aur kahaa k mujh say gunaah sarzad hogayaa hai lehaza mujhay sang.saar kia jaye... aap sallallaho alaihay wasallam nay apna mouNh doosri taraf pher lia. woh aurta phir aap k saamnay aayee aur yehi baat kahi. aap sallallaho alaihay wasallam nay phir apna mouNh phair lia... yahaaN tak k woh apni baat pay mosir rahi. to aap sallallaho alaihay wasallam nay farmaya k bachay ki paidaish k baad aanaa... woh baad azaaN apna bacha god maiN lay kar aayee aur kahaa k ab mujh par Allah ki had (sang.saar karna) naafiz kar dijyeh... aap sallallaho alaihay wasallam nay farmayaa... iss bachay ko apna doodh pilaa'o... jab yeh az khud roTi khanay lagay tab aanaa... chand baras baad woh aurat phir aayee os waqt woh bacha apnay hath say roTi kha raha thaa.
tab aap sallallaho alaihay wasallam nay oss par Allah ki had jaari karwaayee aur ossay sang.saar karwayaa.... oss khatoon k khoon k cheeNTay ai sahab par paray to onhouN nay naagawari ka izhaar kartay howay sangsaar honay wali khatoon k baray maiN shayad koi ghalat ilfaaz kahay to Rasool Allah sallallaho alaihay wasallam sakht barham howay aur kahaa k iss khatoon ki taubah iss qadar maqbool howi hai k agar yeh taubah dunyaa k tamaam insaanouN maiN taqseem kardi jaye to sab ki maghferat hojayee.
yeh hai Allah ki had ka nifaaz aur aisay boray kaamouN k kaffarah... okhrawi azaab say bachnay kaa... agar aap dounou maiN Allah ka etna khauf hai to kissi aisay baray aur taqatwer aur baa wasaail deendaar logouN say rajoo karaiN jo aap par yeh had jaari kar sakaiN ... agar etni himmat nahi to khamosh rahaiN aur Allah say chupkay chupkay taubah maangtay rahaiN aur apnay gunaahouN ka saray aam zikar karkay aur kffara adaa karnay ka kah kar (aur amal nah karkay) Allah ki qaaim kardah HAD ka mazaaq nah oRayaiN. nah hi Allah k Ghazab ko awaaz daiN.
Allah aap dounouN par raham karay. aameen aur aap ki taubah qabool karay. aameen |