Kahoo Mujj say Mohabbat hai ...By Amjad Islam Amjad Mohabat ki tabiyat main ya kaisa bachpana Qadrat nay rakha hay ! k ya jitni bhi purani jitni bhi mazbot ho jaiy !
isay ta'ed taza ki zarorat phir bhi rehti hay !
yaqeen ki akhri hadon tak dilon main lahlaahti ho!
nigahon say tapkti ho, laho main jagmagati ho!
hazaron tarah k dilkash, hasin haaly banati ho !
isay izhar k lafzon ki hajat phir bhi rehti hay
mohabbat mangti hay yun gawahi apnay honay ki !
k jaisay tafal sada shaam ko aik beej(seed) bo'ay
or shab main barha uthay
zameen khod ker daikhay k poda ab kahan tak hay
mohabat ki tabiyat main agab takrar ki kho hay
k ya iqrar k lafzon ko sun'nay say nahi thakti
bicharnay ki ghari ho ya koi milnay ki saa'at ho
isay bas aik hi dhun hay
kaho'mugh say mohabat hay
kaho'mugh say mohabat hay
tumhay mugh say mohabaat hay
samander say kahin ghari, sitaron say siwa roshan
piyaro ki tahara kaa'im, hawao'n ki thara daa'im
zameen say asman tak jis qadar achay manazir hain
mohabat k kina'ay hain, wafa k ista'aray hain, hamarain hain
humaray wastay ya chandni raatain sanwarti hain, sunhera din nikalta hay
mohabat jis taraf jaiy zamana sath chalta hay
kuch aisi baysakoni hay wafa ki sarzameeno main
jo ahel-e-mohabat ko sada baychain rakhti hay
k jaisay phol main kushbo k jaisay haatmain paara, k jaisay shaam ka tara
mohabat kernay walaon ki sher raaton main rehti hay
gumaa'n k shaakhcho'n main aashiyan banta hay ulfat ka
ya ain wasal main bhi hijar k khadshon main rehti hay
mohabat k musafir zindagi jab kaat chuktay hain
thakan ki kirchiyan chuntay, wafa ki ujarkain phenay
samay ki rahguzar ki akhir sarhad pay ruktay hain
to koi tot'ti sanso'n ki dori tham ker
dheeray say kehta hay
ya such hay na......!
humari zindagi ik dosray k naam likhi thi!
dhunlaka sa jo ankho k qareeb-o-door phela hay
is ka naam chahat hay
tumhay mugh say mohabat thi
tumhay mugh say mohabat hay) |