"Small family" aur Islam "Family Planning" ka asal goal "small family" hai yaani kam bachay khush.haal gharanaa... yeh aik secular nazaryah hai aue aalamay islam maiN yeh "mazhab bezaar" tahzeebouN say dar.aamad shuadah hai....... iskay bar.aks Islam "baRi family" ki targheeb detaa hai... nabi kareem sallaho alaihay wasallam ki aik hadees ka mfhoom hai k Aap sallaho alaihay wasallam nay farmayaa rozay hashar maiN apni ummat ki kasrat par fakhar karouNgaa... aik aur hadees ka mafhoom hai k tum zeyadah bachay jannay wali aurtouN say nikaah karo... Sunnatay Rasool Allah sallaho alaihay wasallam aur seeratay sahabah Razi Allah Ta'ala anho maiN aik say zayada shadi karnay ka amali namoonah milta hai....... in sab batouN ka amali nateejah zeyadah bachay ki soortat maiN hi zaahir hogaa...... jo family planning ki asal rooh k khelaaf hai....... iskay elawah jiss rooh nay dunya maiN aanaa hai ossay hum "family planning" yaa kissi aur "masnooee tareeqay" say nahi rok saktay (aik hadees ka mafhoom)
Alah nay saray jaandaarouN ki zarooriyaat sya kaheeN zeyadah rizq dunyaa maiN paida farmaya hai... dunyaa maiN nah to rizq ki kami hai aur nah insaanouN balkay kull jaandarouN k rahnay k liyeh kabhi zameen tang howi hai....... maslah sirf zameen /rizq /wasaail ki ghair mosaawee taqseem ka hai...... chouNkay Allah nay imtehaan ki gharz say kuch logouN ko taqatwer /saahibay hasiyat banayaa hai uyeh dekhnay k liyeh k woh dunyaa k kamzore /kam hasiyat logouN ko onka haqq detya haiN yaa nahi........ aur hum yeh dekhtay hain k amooman saahibay hasiyat log aisaa nahi kartay iss liyeh 'mahroom tabqah' rizq aur deger wasaail say mahroom hai... warnah rizq ki iss dunya maiN kabhi kami nahi rahi.
EXCEPTIONS ki baat alag hai jo har kuliyeh maiN maujood hota hai... jaisay such bolnay ki hamesha talqeen ki jaati hai lekin exceptions soorat maiN "jhooT bolnay ki bhi ijazat hai" iska matlab yeh nahi k log exceptions hi ko asal soorat banaa kar jhooT ko farogh denaa shooroo kardain k sahab islam bhi jhooT bolnay ko allow karta hai balkay baaz soortouN maiN to encourage bhi karta hai...... uffffffff yeh kam aqal aur matlabi dunyaa....
khandaani mansoobah bandi yaa short family ka concept islam k khilaaf hai aur yeh 'birth control' ki as a preventive action (maane-hamal-aqdamaat) bhi 'encourage' nahi kartaa albattah 'allow' zaroor karta hai. jabkay 'abortion' ko insaani qatal qarar detaa hai aur quran maiN saaf saaf iss amal ki mokhalfat ki gayee hai k rizq ki wajah say apnay bachouN ko qatal (abort) nah karo...
ECXEPTIONS: har maamlay ki tarah iss maamlay main bhi kuch exceptions haiN, jissay 'allow' kia gayaa hai, makhsoos inferaadi halatouN maiN..... jaisay maaN ki sehat.... agar itni zeyadah kharaab ho k practicing muslim doctors (nah k deen bay.zaar doctors /deen say laa.ilm doctors) ki muttafiqah roy ho k hamal agay baRhnay say mother ki sehat ko khatrah laahaq hai yaa 3/4 cesarians hojaanay k baad mother mazeed surgery ko afford nahi karsakti tab etc etc etc aisee soortouN maiN hamal say roknay ki bhi kosish ki jasakti hai aur agar hamal Thahar gaya ho to issay giraya bhi jasakta hai....
LEKIN iss EXCEPTION ki aaR main mulk bhar main mass media k zariyeh khandaani mansoobah bandi ki publicity k zariyeh bay.sharmi o bay hayaa'ee ko farogh denaa aur har store /pan ki dokaan par condomes ko productions say bhi sastya daamoun par farokht karkay youth ko bay raah.rawi ki taraf 'attract' karnaa... yeh islamic society maiN kissi tarah bhi allowed nahi .... dunyaa ki staistics oThaa kar deklh lijyeh jab tak unmarried galz ko illegal sex k zariyeh pregnant honay ka KHATRAH maujood thaa... society maiN illegal sex kam say kam thaa (khaah log deen say door hi kiyouN nah houN) aur HARAMI BACHOUN ka wajood kam say kam thaa............ lekin jab say aur jin societies maiN family planning ki publicity zeyadah say zeyadah horahi hai aur mana-hamal adwiyaat /conomes etc openly available hain... on societies maiN illegelal sex bhi zeyadah hotay hain aur harami aulaafd bhi........ pakistan maiN harami aulaad ka data sirf edhi centre say bhi bah khoobi maloom kia jasakta hai........... yeh sab FAMILY PLANNING HI KI DAIN HAI.
Allah hum muslims ko bilkhasoos muslim doctors ko deen ko samajhnay aur iskay motaabiq practice karnay /bhashan denay ki taufeeq day aameen |