kash hum Allah ki "maantay" hum sab muslim, Allah ko to maantay haiN magar Allah ki nahi maantya.... Allah ka farmaan hai k bachay jab shadi ki age ko pahonch jayaiN to onki shadi kar do... Allah onkay rizq maiN izafah kardegaa.... magar hum kahtay haiN k (jawaan honay k baawajood) pahlay apni taleem mokammal karengay, phir job shob karengay, phir apnay paaouN par khaRa hongay .... tab jaa kar ... 27-35 saal tak shadi karengay.......... phir yeh probs to aayengi hi.... karelay pay neem charahaa yeh k tv channels, net, mags k ilawah hamaray chaarouN taraf females zarq barq libaas aur bay.libaasi maiN dawatay nazzarah deti phirti haiN.... aur males ki jinsi bhook oski aankhouN (eyes) say baRhti aur mush.ta'il hoti hai..... to naujawaan bigRaiN nahi to bhalaa kasay????
Allah hum sab par raham karay... in masaail ka haqeeqi hul yehi hai k islamic taaleemaat k motaabiq,,, jawaan hotay hi laRkay aur laRki ki shadi kar di jaye... baqi saray kaam ... taaleem, naukri, kaarobaar sab kuch hota rahega aur zeyadah behtar andaaz maiN hoga insha Allah.... parents to waisay bhi laRkay ka sara kharcha oThatay haiN aik bahoo ka kharcha bhi oTha laiN... takay beTa apnay jawaani k sonahri baras nah to idhar odhar mouNh maaray aur nah hi jinsi bhook miTaanay k liyeh ghair fitri raastay talaash karay...
Allah hum sab ko deenay islam par iski rooh k motaabiq amal karnay ki taufeeq day aameen. |