Epidural Anestheisa During Labor And Delivery Part-2
Continued from part 1 Epidural kay baray main kuch aham nikaat 1-Kia iss kay laganay say takleef hoti hay? Epidural injection jab kamer main lagaya jata hay tu her aurat ko is ski dard mukhtalif mahsoos hoti hay. Kisi ko ahsaas bhi nahi hota aur kisi ko thori dard hoti hay. 2-Epidural laganay ka munasib waqat konsa hay? Iss kay baray main mukhtalif doctors ki mukhtalif opinion hay. Aik maktba-e-fiker kay doctors kay mutabik yah injection labor pain shuru honay kay baad kisi bhi waqat dia ja sakta hay aur iss kay liay waqt ki koi qaid nahi hay. Jabkay doosray maktaba-e-fiker kay doctors ka kahna hay kay yah injection sir fuss waqat dia ja sakta hay jab kay aurat ko na sirf real labor pain shuru ho chuki ho balkay bacha kam az kam 3 centi-meter nichay aa gaya ho (yaad rahay kay delivery kay liay bachha ka 10 centi meter nichay aana zaroori hay). Yah doctors aisi pabandi sirf iss liay lagatay hain kay ager bacha kay 3 centi-meter nichay aanay say pahlay injection laga dia jay tu phir labor bohat ziada slow ho jati hay aur baaz auqaat kafi ghantay guzernay kay baad bhi bachaa apni jagga say 1 centi meter bhi nichay nahi atta. Lakin aisa baherhaal kisi bhi soorat main ho sakta hay kay bachhay ki nichay aanay ki raftaar kam ho jay, aur iss kay liay 3 centi-meter ki koi qaid nahi ha. 3-Epidural laganay kay baad kaisay mahsoos hota hay? Iss injection kay laganay kay baad bachha dani foran kuch hi minute main suun ho jay gi aur ahista ahista jism ka nichla hisa bhi kafi haad tak suun ho jay ga. Lakin iss ka matlab yah nahi hay kay aap apnay jism ko hila jhula nahi sakain gay. Bas iss ka ziada aser yah hota hay kay kisi bhi kism ki shdeed taren dard bhi foran ruk jati hay aur bohat aaram mahsoos hota hay. Haan ager labor 2, 3, 4 ghantay say ziadda lammbi honi shuru ho jay tu phir doctor ka kaam hay kay aap ko wo paishaab ki naali laga ker jism say iss ko baher nikalay, kayounkay I.V. laganay say bladder bohat bher jata hay lakin jism kay iss hisay kay suun honay say aap ko paishaab kernay ki hajat mahsoos nahi ho gi. Iss liay iss baat ko zehen main rakhain. 4-Kia itnay suun kiay hoauy jism kay sath bacha baher push kerna asaan ho ga? Ho sakta hay kay bachha dani kay suun honay ki wajja say aurat ko CONTRACTIONS mahsoos na houn aur bachhay ko baher ki taraf dhkailnay kay liay dard ki uthti laher ko mahsoos kerna zaroori hay takay theek waqat per is laher ki madad say bachay ko baher dhkaila ja sakay. Iss liay ho sakta hay kay iss silsalaay main aap ko doctor ki rahnumai derkaar ho. Lakin ager aisa doosri baar ho raha hay tu phir pahlay tajerbay ki waja say andaza lagana assan ho ga. 5-Kia yah injection Hamisha kaam kerta hay? Ji haan, aur bohat hi kam aisa hota hay kay kisi aurat ko iss injection kay baad bhi dard mahsoos hoi ho. Epidural Kay Mumkina Nuqsaanaat:(side effects) 1-ho sakta hay kuch khwateen main is ski waja say blood pressure aik dam say kam ho jay, iss liay iss halat main blood pressure ka baar check kia jana bohat zaroori hay. 2-one percent say bhi kam khwateen iss injection ki waja say shadeed ser dard mahsoos ker sakti hain, aur iss ka illaj bhi foran hi mumkin hay, iss liay aisi soorat-e-haal say bachnay kay liay doctor say pahlay hi her side effect discuss kerna bather hay. 3-Epidural kay laganay kay baad bachay ki heart beat ko musalsal check kia jana zaroori ho jata hay, j okay koi masla tu nahi hay aur her achay hospital main yah sahoolat dastyaab hoti hay ya honi chahyay. 4-Epidural laganay kay baad mustaqil aik hi position main laitay rahnay say labor ahista ho sakti hay iss liay zaroori hay kay waqfay waqfay say kerwat badli jay, aur yah koi aisa mushkil kaam nahi hay. 5-Epidural lagnay kay baad aur delivery say pahlay kuch chotay chotay say side effect ho saktay hain. Maslan jism ka kaanpna, kamer dard, dil ka herab hona, ya paishaab kernay ki hajat mahsoos na hona(jis ka hal aap ooper perh chukay hain). 6-Bohat hi RARE cases main daikha gaya hay kay kamer per jis jagga injection dia gaya tha uss hisay ki mahsoos kernay ki hiss hatam ho gai hay, lakin iss tara kay effects ki percentage bohat hi kaam hay. 7-Delivery kay baad Ho sakta hay kay bachhay maan ka doodh pinay main thora tang keray, lakin aisi reseach abhi itni ziada nahi ki gai kay koi wazzia baat sabot kay sath kahi ja sakay.
|