Sanwal |
Group: Members Joined: 07th Jun, 2007 Topic: 18 Post: 83 Age:
33
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 2:06am |
|
|
Chand Garehan:Does It Effect On Pragnent Woman?
salam dears, ye puchna chahta hun k chand grehn ya sooraj grehn pregnant women pe effect krte hai.? aksar ye suna hai k us din ya rat ko koi idr udr ka kam nahi krna chahie, yani kuch katna, cheelna etc... or us din ya rat orat ko makeup kr k tiar kr k bitha dia jata hai, k makeup krne se baby b beautiful hoga, or koi effect b nahi ho ga, in bato main kaha tk sachai hai...? udr larke ko b kuch krne se prhez krne ka kaha jata hai...? please, can anybody tell me...? ThanxxX
|
Aamir89 |
Group: Members Joined: 28th Sep, 2007 Topic: 3 Post: 67 Age:
39
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 2:39am |
|
|
sanwal bhai ye sari bekar baten hain. touhum parasti hai. islam mai aisa kuch b nahi hai. ye boori auroton ki banai hue baten hain |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 3:10am |
|
|
sanwal ye to maine nahi suna ke make up karke baith jana chahye.etc
lekin maine kuch bache dekhe hain,jo ke unke parents kehte hain ke ye unki Pragnancy ke time chand/ya suraj garehan aya tha...ek ki bazu pe ek jaga kala sa bada nishan haiaur uske upar bal hain....
ab ye kis ka effect hai ye nahi malum..isi tarah kisi aur ka bhi suna hai maine-
jahan tak mera khayal hai ya andaza hai ke pregnent aurat ko bahi rnahi phirna chaye.. |
Sanwal |
Group: Members Joined: 07th Jun, 2007 Topic: 18 Post: 83 Age:
33
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 4:15am |
|
|
koi thos jawab to hoga...! meri wife b us waqt pregnant thi jub chand grehan hua tha,
or itifaq ki bat hai k meri beti k peit pe b white nishan hai bohat chota sa,
lekin ye nahi kaha ja skta k grehan ki waja se hai ya...?
kisi alam-e-deen se he pta chal skta hai k sachai kia hai...?
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 4:27am |
|
|
sanwal ap ki wife to bhi pregnant hui hain na....to pehle bi apki beti hai...kitne bachey hain ap k?????
dear main ne bi aisa suna hai k chand ya suraj grehan k waqt bahar phirna chahiye....dono mian biwi ko...
aur is k ilawa dono kisi aise cheez ko hath na lagayen jis se kuch kaata ya cheela ja sakey....balke behter hai k koi kaam na kiya jaye....like churi, kaanta, kainchi, hathora, etc etc
aur barey bazurg to kehtey hain k larki ko seedha bed per letey rehna chahiye aur soney bi nai dena chahiye....ankhen bi bund na hon....
ab agey Allah behter janta hai....lekin main ne jahan tak dekha aur suna hai...mujhey ye kahin kahin such lagta hai |
rafaz |
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 20 Post: 937 Age:
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 5:00am |
|
|
HAQEQAT Kuch na kuch to haqeqat ha is may hum loogon ko avoid kerna chayee ladies ko chayee k wo in dinoo may gher say baher na nikleen |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 5:10am |
|
|
sorry mistake ho gaye sorry main ne last post mein likha tha....dear main ne bi aisa suna hai k chand ya suraj grehan k waqt bahar phirna chahiye....dono mian biwi ko...
actualyy main likhna chahta tha k ....dear main ne bi aisa suna hai k chand ya suraj grehan k waqt bahar nahi phirna chahiye....dono mian biwi ko......
|
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:16th Jun 2008, 4:10pm |
|
|
aik asaan sa mashwara aap sabb ke liye aik asaan sa mashwara hai. insaan siraf pakistan me hi nahi basste. iss liye iss tarah ki baaton par zara sa ghaur karnay ka tareeqa yeh hai:
ab agar garehn hai, chand ka ya sooraj ka. to lazmi hai ke poori duniya me jahan jahan gaehn hai udher udher insaan saare ke saare to ghar me nahi rehte honge, kissi ne kaam par jana hai, koi doctor ke paas jaraha hota hai, koi apni mehbooba se milne aur koi khanay khanay aur koi football khail raha hota hai.
sawal yeh paida hota hai ke iss tarah ke massayel ya ajeeb se "scientific" kissam ke side effects siraf pakistan me hi kon zyada hote hai?
jabb aap ghaur karenge to yeh maloom ho jayega ke aankhon par assal parrhta hai, magar pregnancy ka garehn ki radiation se abhi takk koi talluq sabit nahi hua.
yeh alag baat hai ke taya jaan ki phoophi ki khala ki cousin ke betay ki poti kay taya zaad bhai ke barre walay nana abu ke bawarchi ki choti wali bachi ko agar yeh shikayat ho to maan leta hun ke sabit ho gya. ;-)
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:16th Jun 2008, 4:17pm |
|
|
doctorji:aap kidher hen? plzzz high baji ki prblm solve kerain na udher
"sex abuse:what should i do" walay topic me?
sorry for diverting topic? |
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:16th Jun 2008, 6:02pm |
|
|
she must solve it herself done.
sorry now back to topic.
|
sweetie |
Group: Members Joined: 13th Jun, 2008 Topic: 11 Post: 509 Age:
32
|
|
Posted on:16th Jun 2008, 6:19pm |
|
|
grehen Islam main solar eclipse ke waqt salatul khusuf ada karnay ka hukum hai yani do rakat bajamat. aor eclipse ke waqt radiation ka mojood hona bhi scientific haqeeqat hai. Jabkeh ye to sab ko maloom hai keh radiations ke pragnancy par kitnay buray asraat hotay hain nahi maloom to hiroshima nagasaki yaad kar lain!
Is liay agar eclipse ka asar pragnancy par btaya jata hai to yeh koi baeed az aqal baat nahi hai.
doosray mulkon main bhi asar hota hoga, bat sirf itni hai ke wahan kisi baray boorhay ne samjhaya nahi aor kisi ne is ko relate nahi kya warna abnormalities to bahot hain yahan bhi.
lehaza behtar yahi hai ehtyat ka bhi taqaza hai aor neki ka bhi amal hai keh wo waqt zikr-e ilahi main guzara jaay aor bila zarurat bahar na nikla jaay. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 4:52am |
|
|
suraj grehen yes main bi yahi kahun ga k ... chahay ye sub kuch sahi hai ya ghalat....ye sub Allah hi behter janta hai....lekin ehtiyat kerney mein kia herj hai....thori si ehtiyat ker leyn gay to koi ferk to nai perta na |
|