Duties Of Husband: Do Not Go After Other Women
Aik aadmi ko pori koshish kerni chahiay ke wo aisi aurat talaash keray jo uss ke liay suitable ho.wo shaadi se pelhay e position ma hota hai ke wo pori care aur caution se apni partner select keray jis ke saath uss ne baki ki life spend kerni hai.uss ko shaadi ke bahd doseri auratoon ka khayal dil se nikal daina chahiay yaw o doseri auratoon ke peechay bhaghna chor day.uss ko apni wife ke ilawa kisi aur aurat ke baray ma nahi soochna chahiay. Uss ko ye realize kerna chahiay ke ladki ne uss ke saath rahnay ke liay apni family chori hai aur uss ke liay ab ye right nahi hai shaadi ke bahd ke apni childish desires ke peechay bhagay.uss ko efforts kerni chahiyain ke wo new family ko aik saath rakhay aur ghar ma uss ko friendly atmosphere create kerna chahiay. Aik aadmi jo ke apni khushi ma interested ho wo shaadi ke bahd apni bachgaani thoughts ko chor daita hai aur aik new life adopt kerta hai. Ye aik married men ke liay senseless hai ke wo doseri women ke saath joke keray aur apni effection un ke liay express keray.aik aadmi ye pasand nahi keray ga ke us ski wife doseray men ke saath joke keray eshi tara aik aurat apnay husband se es qisum ka attitude na pasand kerti hai aur na bardasht karti hai. Aik women jo ke apnay husband ko doseri women ke close dekhay tu wo jealous aur dishearted ho jati hai.wo apnay ghar aur family ma interest kho daiti hai.wo badla laity hai aisa hi action ker key a phir divorce lay laity hai. Aik woman ne apnay husband ke baray ma court ma complain ki.uss ki shaadi ko 33 saal ho chukay thay aur uss ke according uss ke husband ko humesha se doseri auratoon ke peechay bhaghnay ki aadat thio. "aik aurat ne cpurt ma bataya ke uss ka husband humesha us ski frinds ma interested hota tha.wo bolti hai ke wo apnai friends ko ghar ma es liay invite nahi karti thi because us ski friends ke according uss ka husband un ma interest laita hai aur woe s wajha se apni friends ke samnay sharminda hui. Ye aik married men ke liay proper nahi hai ke wo doseri auratoon ko aankh utha ker aura ankh bhar kar dekhay. Doseri aurat ko aankh bhar ker daikhnay aur un ki teruf aankh uthanay se mard ke dil ma apni family ke liay wo baat nahi rahti aur ulta nervousness, internal anxiety aur apni family ki teruf difference paeda hota hai. ALLAH Quran ma batatay han ker: "believing men se kah do ke wo apni nighayain neechay rakhain aur apnay private parts ki hifazat kerain". (24:30). Imam Sadiq (AS)farmatay han:"aik shahwat bhari nigha shatan ki teruf se phainka hua poisonous arrow hai aur aisi nigha sorrow aur grief ki wajha hoti hai". Flirting psychiatrists ke according aik illness hai.aisi aankhain jo es sub ki aadi hoti han,kabhi bhi satisfy nahi hotien.es tara ka daikhna kaheen tara ki corruptions ki cause hai.jis se youth right path se deviate hoti hai.wo jis ko aankh nahi daikhti,dil bhi us ski desire nahi kerta. Pelhay insaan bad nighahi ke grave consequences ko nazer andaaz kerta rahta hai laikin finally uss per khuwahish ghalib ah jati hai aur wo ghalut qaam kerta hai jis se uss ko kabi sakoon hasil nahi hota ya wo ghalut rah ki teruf chalta hi jaata hai yahan tak ke uss ke liay chorna mushkil ho jata hai,es se wo apni family ka sakoon bhi barbaad ker daita hai. "Imam Sadiq (R.A) farmatay han ke bohat zyada bud nazeri dil ma shahwat paeda kerti hai,aur ye dekhnay walay ko bhatkanay ke liay kafi hai". Islam kuin ke bud nazeri ke consequences ko jaanta hai eshi liay es ko pori tara manna karta hai, Aik insaan jo achanak aik woman ko street ya kaheen bhi dekhta hai,aik dum kisi aur teruf dekhna shoru ker day ya phir eyes ko close ker day.uss ko women ko aankh bhar ker dekhna nahi chahiay ya woman ko ghoorna nahi chahiay.ye pelhay uss ke liay difficult ho ga laikin thori si practice se wo aisay ker sakta hai. Suajhedar log ye jaantay hank we ghalut nigha se wo khud ko bacha ker bohat se khaternaak cheezon se wo khud ko dour rakh saktay han jaisa ke murder, suicide, divorce, nervours breakdown,mental disorders, weakness of heart, anxiety, family rows etc. Main jaanti hon un difficulties ko jo ke youth ko face kerni hoti han,mujhe ilm hai ke streets ma kaheen aur apni eyes ko ghalut cheezon se baachana koi itna ahsaan qaam nahi hai,laikin es sub ko ignore kernay ke ilwa koi aur rassta nahi hai. Aik aadmi jo ke apni eyes doseri women ke liay close rakhta hai khud ko bohat si corruptions se baacha sakta hai aur wo apni family ko enjoy ker sakta hai aur apnay mind ke peace ko. Dear sir! Ager aap apni zindagi ma sakoon aur khushi chahtay han tu doseri women ka notice na lain.apni wife ke samnay doseri women ki tahreef ya un ka ziker mat kerain.ye mat bolain ke "kaash meri shaadi Miss…. Se ho jati;bohat sari achi opportunities ko miss ker diya…"etc etc. Aisi statements aap ki wife ko hurt ker sakti han aur wo aap ki aur family ki teruf cold ho jati hai,uss ma jazbaat khatum ho jatay han aur wo kabhi satify aur khush nahi hoti aur wo bhi aisa kernay ki koshish kerti hai ya eshi tara baat kerti hai.jis se aap ki life se khushiyan khatum ho jati han,kuin ke wo sirf aap se pyar karti hai auir ager aap honest aur sincere nah on aur aap per uss ka trust khatum ho jaye tu sari family ki life upset hoti hai.kisi aur aurat ko sir fuss ke waqti charm ke impress ho ker ya apni bud nazeri se apnay aur apni bivi ke relation ma la ker ya kisi aur aurat ko apnay pyar aur bivi per preference day ker ye mat soochain ke ghalti bivi ki haiya woe s tara behave karti hai kuin ke ghalti aap hi ki hoti hai.soochain aap per kya guzeray jab aap ki wife kisi aur mard ko aap ke aur apnay dermayan lay aye ya aap per kisi aur mard ko perefernce day??? wo men pitiful han,jo ke lust ke kuch moments ke liay,corrupt women ko chase kertay han aur apni pakiza wives ko chor daitay han, jaisay ke family love aur sincerity ko kabhi wo jaantay hi nah on.aisay mard animals ki tara han,jo ke sirf eating,sleeping aur lust pe concentrate kertay han.wo humanity aur affection se bohat dour hotay han. Aurat jab kisi mard se pyar keray ya apnay husband per trust keray aur uss se wafa keray aur mard kisi aur aurat ko uss per peraference day tu aurat es se bilkul satisfy nahi hoti aur wo disheart ho jati hai phir uss ko koi interest nahi rahta aur consequently jhaghray hotay han. Idhar main kuch aur baatain add kera chahti hon ke aurat ko jaisa ALLAH ne paeda kiya hai mard ko usshi tara ussay accept kerna chahiay aur jelousy aurat ki nature ma hai,aik aurat apnay husband aur pyar ke saath kisi doseri aurat ko bardasht nahi kar sakti.aurat ki zindagi se sakoon uth jata hai jab uss ka mard kisi aur aurat ko un dono ke dermayan lay aye lakin mar des sub mislay ki root cause nahi sumajhta balkay ulta aurat ko blame kerta hai ke aurat ka behavior aisay hai jab ke wife upset hoti hai es sub se. Even jab Hazrat Ayesha (R.A) dulhan bun ker ayien aur Hazrat UM-e-Salma R.A ne un ko aik Payalay(cup) ma paka hua ghosht baijha aik baachay ke haath ma tu Hazrat Ayesha R.A ko ghussa ah gaya ke unhoon ne un ko ghosht kuin baijha aur ghussay ma unhoon ne payalay ko zor se haath mara aur payala dour ja ker gir gaya aur too't gaya.Nabi(SAWW) bhi udhar mojood thay.Aap(SAWW) kuch na bolay aur baachay ko paisay diay ke jaon Um-e-Salma ko nayaa payalay khareed ker day do. Eshi tara jab Hazrat Sooda (R.A) dulhan bun ker ayien tu Hazrat Ayesa (R.A) ne un ko aik dewaar ke hole se dekha aur un ko ghairat ah gayi ke kaheen ye un se zyada khoobsurat na lag rahi hon.Hazrat Ayesha (R.A) ne Hazrat Sooda R.A ko bola ke Sooda dajaal ah gaya.Hazrat Sooda bolien kea b ma kya keron.Hazrat Ayesha R.A ne farmaya ke udhar uss jhoonpari ma chup jayain.wo udhar gayien tu jalay se un ke kapray aur make up kheraab ho gay.Nabi SAWW tashreef laye aur fermaya ke Soodda idhar kya ker rahi ho.unhoon ne bola ke Ya Rasool ALLAH dajaal ah gaya.Aap (SAWW) ne farmay soda abhi dajaal nahi aye ga.
|