cherry |
Group: Members Joined: 10th Apr, 2007 Topic: 9 Post: 124 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 2:59am |
|
|
Let Me Know Dua To Get Pregnant
plz koi mujhe pregnant hone ke liye koi dua bataye. plz i'll be very thankful
Please any body let me know dua to get pregnant.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 3:13am |
|
|
dua
ap jub mubashrat strat kerney lagein to dua mangeyn Ya Allah main ye mubasharat naik iradey se ker rha/rhi hun, merey is kam ka sila bhi naik hi dena aur her tarha k shaitaani ajar se mehfooz rekhna, main ye kam olaad k hasool k liye ker rha hun ya ker rhi hun, mujhey naik olaad dey, beshak tu hi sub ko olad deney wala hai aur tu hi hmari duaon ko kabool kerney wala hai, hum sirf terey hi mohtaj hain isi liye sirf tujh se madad mangtey hain, terey se bara koi bhi rehman aur raheem nahi... Best of Luck
|
kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
29
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 3:48am |
|
|
SubhanAllah.... Dear Zeb bhai...Salam
Mjy afsoos hi k my ny yee mashwara CHERRY ko kyn nhi diya...Ya yee mashwara mjy dena chayee tha....Mgr khushi is baat ki hi...k ap ny mery mann ki baat khi...Beshak Allah ki zaat hi Ulad deti aur leti hi..
Mery Mutabiq CHERRY ko is pr amal krna chayee....Aur ha 5 times prayer is k sath zaroori hi...
Ma Salama |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:02am |
|
|
thankx thanku so much kim bhai
ap bilkul sahi keh rahey hain...namaz to hamara ferz hai perhna aur main ye kahun ga k hamen panch waqt namaz k sath sath Quran bi regularly perhna chahiye (beshak ek raku) bus cherry ne sirf dua puchi thi to main ne unhen ek dua batai hai jo wo intercourse se pehle aur baad mein mangeyn...InshaAllah ap ki god bht jald Allah bhar dey ga...Allah sub ko naik olaad se nawazey...AAMIN |
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:30am |
|
|
ayaat/wazeefa yaar koi yahan ayat/wazeefa bata do b/c yeh bohot se logon ka masla hai aur agar aap ke pass kuch knowledge hai to us se kisi ka bhala ho jaye ga aur aap ko bhi sawab mile ga. |
kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
29
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 5:07am |
|
|
Mee Hazir Hoo.. Ab meri khobsurat de de ny farmiash ki hi too....lagta hi mjy apni mama sy baat krni pady gii..ap loog wait kry my soon reply kronga aur koi wazefa bi bataoonga...Baki yaqeen sirf Allah ki zaat pr rkhna hi...hm banday kuch bi nhi..
Ma Salama |
Snowflakes |
Group: Members Joined: 01st Aug, 2007 Topic: 7 Post: 109 Age:
29
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 5:49am |
|
|
Wazeefa for baby.
Aslam o alikum!! Sis cherry aap baby k lyay is wazeefa par amal karen. Jo spelling mein ne ki hai hopefully aapko read karnay mein koi mushkil nahi hogi. "Wa lillahi mulk us samaawaatee wal arzi wama bayena'huma,, Yakhluqu ma yashaaoo,, wal laahu alaa kullee shaeenn qadeer." Aap 41 days tak daily 300 times is ayat ko parh kar kisi meethi cheez per dam kar k half khud khaen aur half apnay husband ko khanay ko deen. InshAllah Allah taala zaroor apna fazal karen gey. Regards. ....................... Sorry I forgot to write the translation of Ayat. If you read the translation then you'll be more able to understand the purpose of dua. Translation is: " Aur Allah hi k lyay aasmanon aur zameen ki badshahat hai,, aur jo kuch in donon (aasmanon aur zameen) k darmiyan hai (in sab ki badshahat),, (Allah taala) takhleeq karta hai jo (cheez) chahta hai,, aur Allah har cheez per qudrat rakhta hai" Regards.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 6:31am |
|
|
Cherry & Khoobsurat hi dear fellows
yar ap aisa kero k ap roz Quran Majed kholo aur us k start mein Allah k nam hain aur end per Rasool Pak (S.A.W) k nam hain....ap roz ye nam ek bar perho aur phir girgara ker aajzi se apni eyes band ker k Allah se dua mango.. ro ro ker aur dil se dua mango...ap dekhna Allah ap ki dua zarur kabool karey ga aur ap ko bht jaldi khushkhabri miley gi |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 7:32am |
|
|
Re cherry: dua for baby
Assalam O Alikum Mubasrat kerne se pehle ye dua karain "Bismillaahee Allahumma Jannibnashaitaana Wjannibi Shaitaana Marazaqtana" translation "Allah k naam k saath Ya Allah door rakh hum ko shetaan seaur ye k rukay rakhiye shetaan ko is bacchay sejo naseeb karain AAP hum ko " 1 *Aulaad k liye "Rabbi Hablee milladunka zurriyatan tayyabatan innaka sami udduaaaa" Tranlation "YA Rab ! mujhay apne pass se pakeeza aulaad ata farma beshak tu dua ka sunnay wala hai " 2 * Aulaad k liye " Rabbi Hablee minas saleeheen" Translation "Ya rab mujhay naik bakht auld Ata farma " 3 * Aulaad e Nareena (baby boy ) k liye khaas dua " Rabbi la tazarnee fardan wa anta khairul wa riseen " Translation "Ya Rab ! mujhay tanha na chourna aur tu behtareen Waris hay " Note:1 : Dua mangte hoye har dafa ye khayaal rakhna chaheyye k aap jab bhi dua mangay jis maqsad k liye bhi har dafa dua mangne se pehle aur aakhir main Durood shareef ( Dorood e Ibrahim jo hum namaz main parhte hain) zaror parhain 2: Allah se gir gira ker dua karain 3 : dua mangte hoye na tu koi word aesa use karain aur na dil main ye khayaal lain k bass Allah tala jitni jaldiii ho sakay ye qubool karay, humesha Sabar k saath dua mangain 4 : aur koi bhi Dua mangne se pehle Sura e Baqra ka aakhri Ruko bhi parhain us kee buhat fazeelat hai (us ka tarjuma zaror parh k dekhiye ga jab aap parhain gee tu aap ka khud ba khud dil chahay ga us dua (Sura e Baqra k aakhri ruko ko) ko bar bar parhnay ka) Allah Tala aap ko naik naseeb Aulaad ata farmaye Aameen Safeena
|
farhanshah |
Group: Members Joined: 04th Jul, 2007 Topic: 2 Post: 46 Age:
43
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 11:01pm |
|
|
Re safeena please kia ap ye batain gee ke ye duain kis time per kerni hain aur kitni dafa parhni hain? |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 5:53pm |
|
|
Re: cherry nice to see you sister again. hope your married life would be going great.
Allah sai dua hai kai jo bhi wazeefa yahan bataye gaye hain woh Allah qubool karay. main aik simple sa insan hoon aur Allah sai jab mangna ho tu namaz aur dua main hi maang laita hoon. agar wazeefa na bhi pata ho tu Allah sai girgara kar dua mangee jaye tu woh sunnay wala hai. |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:20th Aug 2007, 8:30am |
|
|
Re : Farhanshah
Dua mangne k liye waqt kee baat jahan tak hay tu Allah kee marzi jis waqt bhi wo qubool farmaye lekin ziyada tar dua FARZ namaz k baad mangni chaheeyye wesay baaz auqaat aur baaz loogoon kee makhsos auqaat main dua kee qabooliyate k chances ziayada hote hain (jesa k Ahadees se sabit hai) jin main Haji kee dua Hajj karte waqt 2. rozay daar kee dua iftar k waqt 3 .beemaar kee dua jab tak wo sehatyaab na ho jaye 4. mohtaaj kee dua 5.baap kee dua Aulaad k liye 6.musaafir kee dua kuch auqaat jin main dua mangi jaye 1. farz namaz k baad 2 . Azan k waqt ya Azan k foran baad 3. jummay(friday) k din kasrat se durood shareef parhain aur dua karain 4 . late night yani TAHAJJUD k waqt dua (or bhi auqaat ka zikar hai abhi theek se yaad nahi aaraha aur ) aur kitni baar ye sab parhna hai tu dua k liye TADAD kee kasrat itni eham nahi jitna eham ye hai k aap Allah se girgira k dua karain jesa k Faisee ne kaha sacchay dil se Allah Tala se girgira k dua mangain qubool kerta hay Re : Faisee Allah Tala ne apne ANBIYAA aur Rasoolon ko bhi khass Mouqay k liye khass dua batain hain tu jahan aap kee baat durust hay k koi WAZEEFAY k baghiar hee dua qubool ho sakti hai tu ye baat bhi HAQEEQAT rakhti hay k koi khass mouqay k liye khass dua ker k Allah se manga jaye jesa k ALLAH TALA ne HAZrat Adam aur BIBI HAWWA ko mafi mangnay k liye khass dua batai 2 HAZRAT YOUNUS ko jab wo machli (fish ) k pait main thay us waqt k liye khass dua batai 3 HAZRAT AYYOB ko jab wo shadeed aur taveel tareen beemari main mubtala thay khass dua batai aur HAZRAT ZIKRIA ko AULAAD k liye khass dua batai isi tarah humara PIYARE Sallallahu Alaihee Wa Sallam ne kai Alag alag mouqppn k liye alag alag duain batain haan in sab main kahin bhi number of dua ka zikar nahi k 1000 time ye dua parhain ya 10,000 time parhain (jesa k main ne dekha hay) baaz jagha zikar hay tadaad ka bhi lekin ziyada tar tadaad 100 ya thora agay peechay buhat ziyada nahi ................... farhanshah: Posted on : Monday, 20th August 2007, 10:58pm thanks for your's nice and detailed reply
|
Ugly-Sana |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 7 Post: 539 Age:
30
|
|
Posted on:20th Aug 2007, 2:19pm |
|
|
Safeena Nothing could be as detailed and perfectly described as yoru psoting, App ne buhat achha aru khoobsurti se reply kiya hai, aur buhat achi Duwa bhi batayee hai Mashallah. Yeh lakhoon forum parheny waloon ke liye mufeed sabit ho gi. Aur Allah karey, app ko, in Naik kamoon a sawab zaroor miley. Ameen.
Cherry: Nice to see you here, We've heard nice things about you from Faisee. WIsh you best of luck. Allah app ko Naik -o- Saliha Aulaad ata farmayien Ameen. Hum sab ki duwayien app ke sath hain. Inshallah. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:22nd Aug 2007, 7:00am |
|
|
agreed to safeena im totally agreed to safeena
main bhi aaj ap ko yahi duayen bataney wala to jo safeena ne btain hain
is k ilawa bhi kuch hai jo ap perhen
- jo safeena ne bati hain
- rozana ek bar sura-e-Yaseen perhen aur pani per dum ker k pi len aur husband ko bhi pilayen
- roz 100 bar (1 tasbeeh) darood sharif perhe ker pani per dum ker k pi jayen aur husband ko bhi pilayen
- Allah aur Rasool (S.A.W) k names jo Quran mein diye hotey hain roz perhen
- rozana maghrib k waqt 2 nafal perhen aur aulad k liye dua mangen
ye sub kuch ap din mein kisi bhi time perh saktey hain |
ashy |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 51 Post: 384 Age:
32
|
|
Posted on:22nd Aug 2007, 7:26pm |
|
|
re cherry aap ye ayat actually ye dua hazrat zakrya AS ki hy jo unho ny apny waris k liy ki thi
sura alanbiya ayat:88-89
RABBE LA TAZARNI sy lekar KHAIRUL WARISEN tak
aap jitni bar chahein parhein(uthty bethty) drod sharif start or end mein parhein
ye aik nabi ki dua hy allah yaqenan qabul kare ga
mein ny bhi parhi thi pregnancy k doran bhi parhti rahi hon
complete ayat quraan sy parho |
afajju |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 5 Post: 168 Age:
25
|
|
Posted on:27th Jul 2010, 10:12pm |
|
|
aulaad ki dua
asslamaleikum khyriyath meri shaadi hue 2 saal hue hai abhi tak aulaad nahi hai ji mai is forum me new hun kya aap batayenge ki mubhasarat karne se pehle kaun si dua karni chahiye aur aaj meri ovulation ki 12th day hai aur kaun kaun se surah padna hai aap mujhe detail me batayiye aap ka bohoth bohoth shukriya ............... asslamaleikum meri shaadi hue 2 saal hogaye hai lekin abhi tak pregnant nahi hue mai aur mubhasharat karte waqt niyat karke karr rahe hai kya aap mujhe bata sakte hai ki aulaadh hone ke liye kaun kaun se surah padne chahiye plz aulaadh hone ke liye koi dua dijiyye plz
............................ plz koi mujhe reply dijiye aulladh ke dua dijiye aap ko meherbaani hogi
plz mujhe dua dijiye ky akrna chahiye aulladh hone ke liye mai sub kuch
karungi
|
crazyforu |
Group: Members Joined: 29th Jul, 2010 Topic: 3 Post: 12 Age:
23
|
|
Posted on:2nd Aug 2010, 10:34am |
|
|
salam aap har roz namaz isha k baad mubeen wali yaseen parh k pani mai dam kar k pi lain or phr dua kare inshallah dua qabool hogi |
afajju |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 5 Post: 168 Age:
25
|
|
Posted on:2nd Aug 2010, 12:14pm |
|
|
aulaadh ki dua asslamaleikum sir mujhe aap se ye poochan tha mubeen waali yaseen matlab surah yaseen hai ya dusra kitab hai plz mujhe batayiye aur kaunsi dua karna chahiye plz batayiye mujhe |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1866 Age:
26
|
|
Posted on:2nd Aug 2010, 12:20pm |
|
|
afajju mubeen wali yaseen whi yaseen hai jo hum perty he laikin iskay perne ka tareeqa alag hai.............wo ye hai k jb ap yaseen pre to mubeen kai bar ata hai jb pehla mubeen aye to phir se yaseen shuru kre aur dosre mubeen tk pre aur phir shuru se tesre.................isi tra hr mubeen per bari bari hatam kr k shuru se pre .....................AUR JB AHRI MUBEEN AJAYE TO SHURU SE AHIR TK PURI YASEEN PRE.
aur jo b apko chhye wo Allah pak se hath utha kr aaang lijiye................inshaAllah wo apko mil jaye ga.aur omeed ka daman nhi choriye ga kkio k omeed per duniya qaim hai. |
afajju |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 5 Post: 168 Age:
25
|
|
Posted on:2nd Aug 2010, 12:25pm |
|
|
afajju
hasna madam aap se ye poochna tha ki anal bleeding hue toh ghusal karna zaroori hai kya aur kaunsi duayein karna chahiye mujhe batayiye plz aaj meri ovulation ki 17th day hai aur kaun kaun si dua karna chahiye plz batayiye mujhe ............................ mubeen yaseen
asslamaleikum hasna madam mujhe aap se ye poochan tha ki mubeen yaasen
kya husband bhi parsakte hai kya ya phir mai akli hi parhun ise plz
mujhe batayiye
....................... mubeen yaseen
hasna madam plz mujhe reply dijiye
|
|