mercury side effect: infertility mercury aik intehai toxic element hai jis ka body ko koi khaas faida nahi. ji haa mercury ka asar fertility per bhi hota hai. kuch khawateen ki infertility ki wajah jism mai zaid muqdar mai mercury ka hona bhi hai. aur aik study ke mutabiq jism se mercury nikalne per infertility ke ilaj mai behtari aati hai.
lekin is ka yeh matlab bhi nahi keh sirf dental filling se tamam khawateen ko infertility hoti hai. infertility ke kai aur bhi wajoohat hote hai like ovulation problems, fallopian tube malfunction, age, and for men, loss of sperm motility or very low sperm count.
jism mai mercury ke dakhil hone ka zaria sirf dental amalgams hi nahi balkeh kai aur tareeqa se bhi mercury daakhil hota hai maslan:
Fish, Fluorescent light bulbs, Thermostats, Barometers, Light-up Sports Shoes, Button Cell Batteries, Vaccines, Cosmetics, Disinfectants, Thermometers, Skin Creams, Tattoos |