ACCORDING TO ME.... SALLAM TO ALL FRIENDS
Mairai kyaal sai aisa karna acha nahin.Q kai yai sab kuch non-muslims kartain hain.Aur jab ISLAM main pehlai khabi aisi batain nahin hoyee to hamain aisa nahin karna chahiyai.
Jab shohar or bivi kai darmiyaan main ISLAM nai phir bi kuch sharam raki hai to us ka hamain kyaal rakna chahiyai.Yai sab kuch karnai sai insaan GHUNAH main ata hai.Q kai ghaliyaan kisi ko bi daina achi baat nahin.
Rahi bivi ya shohar ki baat to har kaam saadgi sai hoo to behtar hai.Q kai saadgi har insaan ki sorat,seerat,aklaaq or mohabat ko maloom karnai ka aik bohat hi mofeed tariqa hai.Mairai kyaal sai shohar or bivi kai aik dosrai kai liyai izat rakni chahiyai.
Is sai yai aik dosrai ki nazar main unchai maqaam aur mohabat walai hotain hain.Har kaam ko ISLAM nai tol kar us ka jawab diya hai.To hamain idar udar janai ki zaroorat nahin.
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |