nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:8th May 2008, 9:01am |
|
|
Sunni And Deobandi: What Are The Difference?
- Deobandi & Sunni main Difference bayan karen???
|
pappumelon |
Group: Members Joined: 22nd Apr, 2008 Topic: 2 Post: 31 Age:
32
|
|
Posted on:8th May 2008, 9:26am |
|
|
No difference! No Difference---All are muslim, all have read kalma. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4333 Age:
38
|
|
Posted on:8th May 2008, 9:29am |
|
|
sawal ke peeche asal story kia hai? mohtarma khairiat tu hai na ....... is qisim ke sawalat larka larki ka rishta tai kerte waqt kia jaata hai.
bachpan mai ham sirf do maslak jaante the: shia aur sunni. ab sunni mai beshumar division sunnte hai. deopandi bhi sunni hi hai.
waise by the way kia aap iss sawal ke peeche asal hidden story batana pasand kare gi? |
pappumelon |
Group: Members Joined: 22nd Apr, 2008 Topic: 2 Post: 31 Age:
32
|
|
Posted on:8th May 2008, 9:38am |
|
|
Bewaqoof Waisay i forgot, lakin app k comment say muj ko yaad ayya aik jaga maray rishtay ki baat chali tu larki walon nay is waja say refuse kar diya k hum suuni hay.
good u r inquiring right! Go on! |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:8th May 2008, 9:47am |
|
|
nelish koi farq nahi , deobandi bhi sunni hotay hain , mujay pata hae aap ne ye question kyun poocha hae, detail bhi bata doon ga , main ne us time bhi promise kiya tha so wait plz
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4333 Age:
38
|
|
Posted on:8th May 2008, 9:53am |
|
|
larki ka maslak kia tha? pappumelon: tu kia larki wale sunni nahi the? agar sunni nahi the tu phir kia the? aur jab sunni nahi the tu phir rishta ka chakkar kaise chal gia? kia aap tafseel batana pasand kare ge? |
pappumelon |
Group: Members Joined: 22nd Apr, 2008 Topic: 2 Post: 31 Age:
32
|
|
Posted on:8th May 2008, 10:01am |
|
|
Bewaqoof Larki walon ka maslak deoband tha or main sunni, waisay muj ko koi tension nahen tha, un ko hi problem tha k main sunni hon, or yeh last main discuss hua. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4333 Age:
38
|
|
Posted on:8th May 2008, 10:08am |
|
|
deobandi aur barelvi dono hi sunni hai pappumelon: deobandi aur barelvi dono hi sunni maslak hai hai, mazhab ke theekedaron ne maslak ke new edition mai deobandi ko alag mazhab bana dia aur barelvi ko sunni qarar de dia.
Firqa bandi hai kanhi, aur kahi zaatain hai kia zamane mai panapne ki yahi baatain hain
|
pappumelon |
Group: Members Joined: 22nd Apr, 2008 Topic: 2 Post: 31 Age:
32
|
|
Posted on:8th May 2008, 11:08pm |
|
|
U r Right Bewaqoof: u r absolutely rite but deobandi zara DATA SAAB janay or DATA SAAB kehnay say ghabratay hain or barelvi nahen. so I say all are muslims and muslims shud b united. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:8th May 2008, 11:18pm |
|
|
deobandi & brelvi... brelvio ki kuch batain aur kuch aqeeday muje zati tor par napasand hain jinki tafseel mai janay ka filhaal mera mood nai hai...
Deobandi ki puri tafseel to apko ch babar hi bataingay, par ye raiwind mai jo har saal ijtama hota hai wo sab deobandi hi karatay hain aur jitni tableeghi jamaatain hain un mai ziada tar deobandi hi hotay hain,, ye jitnay cricketers deen ki taraf lagay hain including saeed anwar, mushtak ahmad, inzimam etc aur Muhammad yousaf, ye sab deobandi sunni logo nay efforts ki aur Allah tala nay in sab ko hidayet di hai.... iskay ilava in logo ki continuous tableegh jari hai aur jari rahay gi, bohat say actors, singers aur bohat log deobandi hazraat ki tableegh say mutasir huey aur Allah pak nay unko naiki ki hidaet di.... |
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:9th May 2008, 8:02am |
|
|
Bewaqoof & Ch babar Bewaqoof:ji han bilkul kheriyat hai..........koi reshte weshte ka chakar nahin hai.................. sawal ke peche story kafi Special hai jo main yahan share karna pasand nahin karon gi.............agar batana hoti tu pehlly hi bata deti..........
Ch Babar: kitna wait karna ho ga??? |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4333 Age:
38
|
|
Posted on:9th May 2008, 5:41pm |
|
|
re: story behind deobandi and sunni nelish: wah yeh kia baat huye, mashwarah ham logo se le gi aur story kisi aur ko sunaye gi.
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:9th May 2008, 10:45pm |
|
|
Neelish... barda hi ajeeb sa Topic start kiya hai tumne... Hamaiyn bhi tou thordah Back Ground Story bataoo....???
|
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:10th May 2008, 2:29pm |
|
|
Babar bhai ?????????????????????
kahan hain apppppppp |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:11th May 2008, 6:53am |
|
|
Nelish 1857 ki jang-e-azadi ke baad jab Hindustan main Muslims ke deen-o-emaan ko shaded khatra paida ho gya tha tab us waqt kuch Ulema umeed ki eik kirn ban ke namoodar howe aor apni mehnet ke zariye shirk-o-ilhad ke toofan main ilm-o-muarf ka eik aisa chiragh Deoband (India) ki sarzameen pe roshan kia jo aaj tak sham-e-hidayt ban kar pooray south asia ko meenar-e-noor banaye howe hae. In Ulema ke maslik pe mal karne waloon ko deobandi muslim kaha jata hae. Deobandi ahl-e-sunnat hain aor fiqa hanfi pe amal karte hain, Hanfi, Hanbli, Shafi, Malki ye sabhi sunni hain. India Pakistan main Hanfi Fiqa main 2 school of thaught hain Brelvi aor deobandi, brelvi hazrat ne ye propaganda kia ke sirf khud ko he sunni kehte hain aor baqi ahl-e-sunnat ko kabhi deobandi to kabhi wahabi kaha gya.
Brelvi hazrat ke kuch aise aqeeday hain jin pe shirk ka guman hota hae jaise Allah ke ilawa kisi aor ko bhi mushkil kusha kehna….. Allah ke siwa kisi ko aor ko hazir-o-nazir man’na…..isi tarah mukhtar-e-kul, noor-o-bashar, meelad, qabar parasti, Urs ,Allah ke siwa kisi aor ki nazr-o-niaz. aor bhi kai aisi baatain hain jo ke Quran aor Sunnat se hut ke hain
India Pakistan main deobandi Ulema ne hamesha Islam ki khatir apni jaan dene se bhi guraiz nahi kia, British ke khilaf jang-e-azadi ho ya tahreek-e-khilafat, tehreek-khtm-e-Nubuwat ho Sahabah Karam aor ahl-e-bait ki izzat ka muamla Deobandi Ulema ne apni jaan di hae aor Islam ka alm buland kia hae.recently jab Musharraf ki hakoomaty ne Islamabad main kuch masajid shaheed kar di to ye deobandi ulema he thay jino ne in shaheed ki gai masjid ke liye awaz buland ki aor shaheed masajid ki baat karte karte khud bhi shaheed ho ge. |
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:12th May 2008, 9:09pm |
|
|
thanks........... babar bhai |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:12th May 2008, 11:13pm |
|
|
nelish baat kuch samjh main bhi aai hae ya sar se guzr gai hae ???? thanks ki koi zaroorat he nahi |
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
24
|
|
Posted on:25th May 2008, 5:54pm |
|
|
Re. nelish (Sunni And Deobandi: What Are The Difference?) Deobandi ke ek bhout short definiation .
Deobandi woh log hootay hai jo niaaz , nazar , faatiya , darood ko nahi mantay hai aur kuch toh quran khani aur 12 rabul awal ko bhi nahi mantay hai yeh Deobandi ke definiation hai .
nelish ! yeh thi short definiation Deobandi ke .
|
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:26th May 2008, 12:30am |
|
|
its-pk muje aap se dili hamdardi hae ke aap ki di hoi ye information Nelish ke kisi kaam nahi aa saki kyun ke woh net use nahi karti.
abb yahan pe aap ne bataya hae ke Deobandi Darood ko nahi mante...main aap se is ilzam ka saboot nahi mangta laikin ye baat to clear hae ke Darood ka hukam Quran main majood hae aor Khud Allah Ta'ala bhi Hazrat Muhammad (peace be upon him) par darood bejhta hae abb aap ki di information ke mutabiq Deobandi Darood ko nahi mante thats mean woh Quran ki is ayet ka inkar karte hain to mera ye emaan hae ke jo Quran ke eik harf ka bhi inkar karta hae woh kafir hae to kya aap apne is daawa pe koi fatwa la sakte hain??????aor ye bhi bata deejye ga ke har muslim nimaz darood bejhta hae to jab deobandi nimaz parta hae to nimaz ke darood wale hissa main woh khamosh ho jata hae????aap to maasha allah bohat kuch jante hooon gay, ye bhi bataye ga ke jab deobandi muslim Hazrat Muhammad(peace be uopn him) ka name leta hae to khali hazrat Muhammad kehta hae????
aor ye bhi bata deejye ga ke kya ye nazar , niaz, khatm shareef aor 12th rabi ul awwal ka jaloos sahabah karam (R.A) se sabit hae???? Sahabah Karaam se barra aashiq-e-Rasool koi nahi ho sakta . waiting for ur reply. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:26th May 2008, 4:00am |
|
|
babar bhai muje aap se dili hamdardi hae ke aap ki di hoi ye information Nelish ke kisi kaam nahi aa saki kyun ke woh net use nahi karti.
appko kis nay bataya, neelish ab nahi aye gi yahan ??
|
|