Difference Between Nikkah And Rukhasati Although this matter is discussed exclusively, but just to mention my opinion regardless of what respected muftian-e-karam suggest, on a point raised by some respected members in other posts as:
point by some members:
- According to islam, nikah kai baad mian bivi mehram ho jatay hain aur as per their wish, even chup kar bhi wazeefa e zaujiat ada kar saktay hain, agar rukhsati amal main na aee ho.because "rukhsati" ka quran aur hadees main koi zikar nahin balkay yeh cultural thinking hai.
My Point:
Islam main "amal ka daromadar niyaat per hai", we all believe on that. Nikah ka basic purpose "sari community kai samnay is baat ka iqrar karna hota hai kai ab donon larka aur larki mian bivi hain". yeh aik tarah ka agreement hota hai donon kai darmian gawahon aur poori community ki mojoodgi main. aur jab rukhsati honee ho tab bhi gawahon aur community ko pata hota hai kai ab larka aur larki wazeefa e zaujiat ada kar saktay hain aur agar rukhsati na hoee ho tu community or atleast gawahon ko pata hota hai kai abhi rukhsati nahin hue. yeh aik tarah ki mutual understanding hotee hai logon kai darmian. community, gawah, aur mian bivi--sab ki niyat yahi hotee hai kai abhi rukhsati nahin hue, lihaza woh donon mubasharat na kar saktay hain aur na karain gai. Rukhsati na karnay ka word use hi is liye hotah ai kai everyone knows kai abhi donon sex nahin karain gai. Is ko aap riwaj keh lain, rasm kah lain ya mutual understanding. yeh muashray main insanon kai aik doosray per trust hai. yahi trust insanon ka aik doosray per aitebar hota hai kai agar kisi larki ki rukhsati nahin hue tu woh kanwari ho gi.
ab agar aap logon aur gawahon ko yeh batain kai rukhsati nahin hue, aur khud chup kar sex kar lain tu phir gawahon ka kia faida hua. yeh tu aik tarah ka breach of contract hai. gawahon ka maqsad hi shadi ki gawahi dena hai aur is baat ki gawahi kai larki ab larkay kai haq main chalee gaee hai. rukhsati na honay ki soorat main woh abhi gawah hain kai donon aapas main bind hain laikin abhi sex na karnay ka agreement donon taraf sai hai. Otherwise agar sex kar lia jata hai tu in future , in case agar larki ki without rukhsati separation ho jaye aur doosri jagah shadi ho tu yeh batana ho ga kai although rukhsati nahin hue thee but they have shared bed. kion kai Allah talah niyaton ko janta hai.
agar koi in riwaj ko tasleem nahin karta aur samajhta hai kai rukhsati ka word un ki dictionary main nahin hai aur na hona chahiye, tu woh shadi kai pooray process main rukhsati honay ya na honay ka zikar hi na karain. takay yeh understood ho kai now ab woh wazeefa e zaujiat (sex) ada kar saktay hain.
Its solely my opinion based on my knowledge, I might be wrong. But if you guys can read it , please let me know ur opinion wihtout any prejudice and hatred. thanks
|