re bawaseer se conceive karne mai ya pregnancy ho sakney mai koi masla nai hota
magar ye advice ke jati ha ke jis had tak mumkin ho piles ya bawaseer ko kum kar ke pregnancy karain
kunke constipation bhe pregnancy mai increase hoti ha and piles bhe zada barhtey han hormones ke effect ke under and also pressure of increasing size of uterus..
Agar apki wife ke jo bawaseer pressure par bahar ati ha aur khud wapis andar chale jati ha ya woh khud andar karte han aur blood kabe nai aya wahan se tu ye bilkul initial stages par he...aur iss stage par ap jis bhe doc k pas jain ge wo ye advice karey ga..
1) wo khud ko constipation na hone dain...
2) isapgol ka chilka aise laina hek sath mai pani zada paiye tu constipatn ke leye affctv ha...try karain din mai 3 times lai lain...
.3) salad ka zada istamal karain....green vegetables zada lain..
.4) moli,gobhi jaise vegetable na lain aur pani zada pai karain.
..avoid oily food...
Fruits mai amrood aur apple chilke ke sath..
... Bawaseer k leye medical doctorz koi medicine nai daite.. Agar cönstipatn relieve na ho rai ho tu daite han..(laxatives)
. Ya agar bawaseer bohat bhar jaiey k blood aye ya har waqat baher nikli rahe tu operatn karte han..
for pregnancy
ap unke unn days mai jab egg release hota ha mostly yani ovulation days jo ke 28days cycle mai 12th to 14th day hota he tu intercourse karain...balke its adviced that 11th to 17th day of menstrual cycle ke alternate days par intercourse karain.. |