Chatting Ka Koi Faida Nahi Yeh aik medical website hai, yaha per chatting category ki koi zaroorat nahi thi. Members mukhtalif thread mai sawal jawab kerte kerte personal discussion kerne lagte the aur topic divert hone lagta tha, lehaza topic divert se bachane ke liye chatting category start ki gayee thi, takeh topic divert na ho.
lehaza yaha per members se request hai keh bila wajah chatting na kare, sirf aur sirf logo ke problem solve kerne mai madad de, agar kisi thread mai topic divert hone lage tu phir chatting section mai aa kar apni baat continue kare.
ya phir koi aisa topic jis ka taluq barah-e-rast member se ho tu woh topic iss category mai discuss kare.
Forum thread ka maqsad
Forum ka har thread aik article ki haisiat rakhta hai, os ka proper title hota hai aur os ke andar aik makhsoos topic ko discuss kia jaata hai. Page ka title aur url iss tarah tayyar kia jaata hai keh Search Engine friendly ho, yani aise topic per thread start kia jaata hai jis per log search ker rahe hote hai.
jab search ke nateeja mai forum ka koi page khulta hai tu forum chalane wale ko faida hota hai (google add ke zaria). lekin chatting category ka title aur url Search Engine friendly nahi hota. aur phir chatting sirf aik page tak mahdood nahi rahte, jis ki wajah se chatting wala thread Search Engine friendly nahi hota hai, lehaza yeh thred na search engine ke zaria khulta hai aur na hi admin ko (google add ke zaria) koi faida hota hai. balkeh ulta data base per aik bojh hota hai, aur bila wajah server per load perta hai.
yeh forum php pages per mushtamil hai, aur jetni dafa koi reply hota hai otni hi dafa aik php page ko mukammal process se guzarna perta hai. jis ki wajah se server per mojood na sirf iss website per load perta hai balke doosre website ki kar kardagi bhi mutasir hoti hai.
jetni dafa reply submit hota hai, otna hi dafa page dobara se load hota hai, jetni dafa page load hota hai otna hi ziadah bandwidth kharch hota hai. bandwith free mai nahi milta.
lehaza mai chatting category ko strongly condomn kerta hoo, yaha per fazool chatting band hona chahiye, ya phir iss category mai sirf aur sirf zaroorat ke tehat members kisi makhsoos topic per apne khayalat ka tabadla kare. |