re: khan_18 salam khan sister laiken kuch samj main nahi aaya
uskay menses 18 ko khatam hovay means 18 ko mainay first sex kia aur still main 26 tuk kar raha hoon kya is say koi nuksan tu nahi ager daily sex karon because maira maksad sirf ye hai kay allah hum per rahmat kar day aur usay pregnancy ho jaye
main just ye clear karna chahta tha kay main apni wife ka kab test karwa kay daikhon tu pata chalay kay wo pregnant hai ya nahi because first month bi mainay aisay hi test karwaya tha tu wo negative tha
tu mujay kisi freind nay kaha kay jab tuk menses ki date say ooper din nahi hotay test main pregnancy nahi aati main isi liye confused hoon kya maira dost theik kah raha hai ager mairi biwi aik din pehlay pregnant hoi ho tu kya test main one month say pehlay pata chal jaye ga kya
aur ager test karwa laita hoon farz karain tu us main pregnancy nahi aati laiken ager wo pregnant ho tu koi nuksan tu nahi hoga na sex karnay say means hamal zaya honay ka
aik aur cheez ye jo aap nay 22/5 - 24/5 - 26/5 is tarah likha hai tu kya ye tareeh hai aur means 22 day and 5 is month ye clear kar dain main buhat mashkoor honga aap ka |