New |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 61 Post: 226 Age:
36
|
|
Posted on:4th Sep 2009, 5:40am |
|
|
Business Problem: Kia Kisi Ne Koi Bandish Ki Hui Hai?
AOA, Mujhe ap sab logon ki rai chai hai. Asal mein shuruat istarhan sai hai keh merai abu saudia airline mein kam kertai thai from 1978-1986 us waqk unki salary Rs. 100000 thi. Her kisam ki ayashi thi. Ayashi ka matlab ghalat kam nahin balkeh yeh tha keh jo ji mein aia khareed lia dunia mein kahin bhi jana ho usa Singapore uk jahan bhi foran chalai gai kisi bhi maslai kai baghair, meri umer 1986 mein 8 saal thi. Ap yun kahein keh her kisam ki asaish thi 15 din pak mein 15 din Saudi arab mein kabhi kahin kabhi kahin.. 86 mein merai chotai bhai ki death ho gai. Phir merai abu nain kaha keh mein ab Pakistan sai bahir nahin reh sakta mein Pakistan mein hi set hona chahta hun. Kuch meri dadi ka bhi pressure that keh Pakistan wapis akar apnai bhai kai saath koi business shuru karo. Abu kai chotai bhai farigh thai. Islia hum 86 mein wapis agai aur export ka kaam shuru ker lia. 86-91 tak marketing kai lia kafi abu nain bahir kai chakkar lagai laikin aik bhi order na mila. Bilkul kaam band. Phir 91 mein orders book hoa aur export honi shuru ho gai itni shuru hoi keh phir kusch achai din ai. Kam challa laikin 93 mein phir bilkul thap ho gia kyonkeh aik buyer nain 20 laakh rupees ka order book kia aur phir lainiai sai inkar ker dia, yeh bedsheets thi uski panain style mein jo kahin aur nahin sale ho sakti thi. Lehaza bedsheets ka container germany ki port per hi para raha aur hamein 20 laakh ka nuksaan hoa. Us container ko abu nain bhula dia aur pata nahin who bedsheets kahan gain. Ik aur jhatka laga laikin phir Allah ka naam lai ker business continue rakha. Aik baat aur kehna chahoon keh ham nain ajj tak kabhi koi baimani nahin ki. 93-98 tak phir business bilkul band. Laikin ham try kertai rahai kertai hai akhir kaar 98 mein phir shuru ho gia germany, Holland aur denmark mein. Aur kafi orders miltai rahai keh hum is kabil ho gai keh 2001 mein hum nain takreebna 10acre zameen li 3 crore sai zameen khareedi aur construction ki dyeing and bleaching unit kai lia.. Machinery abhi import nahin ki thi keh laikin 2002 mein phir band ho gia. 2002 sai lai ker ajj tak 1 saal mein sirf aik container chala jata tha ya phir ziada hi hoa to 2 jo keh nakafi hein factory ko chalanai kai lia takreeban 1 saal mein 30-35 container janain zaroori hein akhrajat ko pura kernain kai lia. Ab yeh halat hai keh bank kai 80 laakh rupai kai makrooz hein. Apnain paas sirf factory hai aur ghar bas. Ajeeb si situation hai. Hamarai neighbour mein aik bohut bari factory hai Faisalabad ki no. 01 per keh saktai hain unhon nain message bheja hai keh agar factory sale kerni hai to batain. Mera damagh us waqt sai ghoom raha hai. Takreeban 25 saal mehnat ker kai who bhi imaandari sai tu ham nain kia paya. Kuch bhi nahin. abhi bhi ham sab ikathai rehtai hein merai dada abu, abu, merai chacha unki family mein aur meri family. business bhi ikatha hi hai. mein ziada kam nahin kerta kyon keh meri aik aank nahin hai aur doosri eye sai bhi bohut kam nazar ata hai. Allah bhi lagta hai keh sirf baimanoon ki madaat kerta hai. Mein yeh poochna chata hunk keh kia kisi nain koi bandish ki hoi hai koi jadoo waghera. Factory ki construction kai kuch arsai baad factory kai gate kai neechai si kuch taveez milai thai. Ghar mein sahan mein gand (fuzla stool) akar girta tha. Phir parhai waghera kerwai to khatam hoa warna log kehtai thai keh agar yeh band na hoa to yai ghar mein job hi kahana pakai ga us mein akar girna shuru ho jai ga. Meri shirt per blood akar girta tha ahatha keh almari mein tangi shirts per bhi girta tha. Hamarai ghar walon kai aksar pillow kai neechai sai needles niklati thin aik dafa aik chat per aik flag mein kuch lipta hoa tha meri sister nain usko uthaia keh flag hai to usmin sai hansanain ki awazain ani shuru ho gai. istarhan ki aur bhi bohut kuch hota tha mein bian nahin karon ga keh post bohut lambi ho gai hai App logon ka is kai barai mein kia khial hai, kia rai hai. Mein app kai reply ka muntazir rahon ga. shukria
|
love bird |
Group: Members Joined: 06th Nov, 2008 Topic: 73 Post: 1169 Age:
37
|
|
Posted on:4th Sep 2009, 6:00am |
|
|
bandish oar jadoo aisa hota hai ....app ki kahani sun ker bohat afsoos hoa ...Allah say her waqat Dua karain oar kissi Allah walay say millain ....Agar Lahore mein rehtay hain tou Data Ali Hajveri k darbar per jumah parhain ....oar apna dill Allah oar Allah waloon say lagahain .Magar Yaad rukhain k iss dour mein bohat say jahali babay bhee banay hohay hain...achi tarah say daikh baal ker jahain oar agar wahan per kohee bhee ghair sharhee kaam daikhain tou wapis ajahain |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:4th Sep 2009, 2:27pm |
|
|
new bhai waseem08 ne apki rodaad prhi to yaqeen jane aankho me aanso aagaye q k sam aisa hi hamare sat howa tah hum bhaiyoo ne kabi na socha tah k hum kabi b koi job wagira karenge pr ye logon ki jalan k hum pr or humare karobaar pr jadoo kia gaya or phr wqtii mushkilaat aagayii kheir ab sab acha hy allhamdulilah hi rubbil AAlameen.
sab se phele new bhai waseem08 apse eltamaas krta hy k ye jo jumla apne kaha or tyep kia hy......Allah bhi lagta hai keh sirf baimanoon ki madaat kerta hai.......new bhai aastaghfirullah aazzawajal ye jumla kufriya hy or waseem08 apse bari aajizi k sat eltamaas krta hy k aap sab se phele to iss jumle se toba karen or tajdeede emaan karen or phr agr ap shadi shudaa hen to toba or tajdeedeh emaan k bad tajdeedeh nikah b kare tooba you karen k aye ALLAH aazawajal aaj tak mujhse jane or anjane me jitne b ghuna saghira,kabeera,zahir,batin,jantahon,ny janta honsab se toba krta hon or tajdeede eman youn karen k aaye ALLAH aazawajal mujhse aaj tak jane anjane me koi b kufriya kalimat sardd zrdd howe hen me unn sab se bezaar hon or sache dil se teri bargaah me toba krta hon or kalimae tayyeba prhta hon phr kalima tayyebaa prh lijiye or agr shadi shuda hy to bhai jann lazim hy k tajdeedeh nikah karen tajdeedeh nikah youn karen k kam az kam do mrdd k samne aap apni wife se ye kahen k mene apse nikah kia 100 rupe muhrr pr kia apko qabool hy apki wife ye kahe k qabool hy bas 01 bar kafi hy or 03 bar sunnat hy nikah se phele agr chahe to khutbaa b de sakte hen k ye b sunnat hy khutba me srf surae fatiha b prhh hi jasati hy agr chahe to.
abb bhai jan apke swal ki trff aate hen aap apna pura naam or walidah ka pura naam sai bata den to iss takhara me maloom ho jaygaa k aaya apka ghumaan yani jadoo sai hy yaa phr kuch oor hi hy.
salaam.
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:4th Sep 2009, 2:44pm |
|
|
new zindage mein pareshane tu atee he hai leken app ke shikwaa karne se museebat taale ge nahi balkee ess per sabar se mehroome ke surat mein sabar per ajaar ka sawab bhi chala gaya aur aur shikwa kar kee gunnah mein paree aur Naozo billah Kufur baak kar zindage bhar ke kamai gai saare naikia khatam hogai.. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:4th Sep 2009, 2:46pm |
|
|
Procedure Toba phele nahi hogee pheele Tajdee-de-Iman hogaa
Tareeqa yeh hai k:
Ai Allah Main ne yeh jo kufur baka hai ess se beezare ka ezhar karta ho aur poore zindagi mein kabhi bhi koi bhi kufur baka ho unn sab se beezare ka ezhar karta ho aur main Muslim hota hoo.
(ess mein uss kufur ka ezhaar karna zaroore hai jo bakaa hai.)
Phir Kalima parhee etne awaz se k khud apne kanoo se sun lee. Tarjuma dhura lee tu afzal hai...
Ess k Baad apne gunaaho se Toba kejea. Toba ke tareef yeh hai k Gunnaho per dil se nadamat hone chahe aindaa na karne ka pakka waada karna hogaa aur uss gunnah se pakke sache toba karnee hogee.
Toba mein jo bhi alfaz use karne chahe karleee. agar yeh word use karne chahe tu yeh bhi karleee.
Tooba karta hoo main apne peechle tamam gunaaho se aur eraada karta hoo k aindaa shariat per chaloonga BADMAZHABOO aur buure logoo ke suhubat se bachta rahoonga NAMAZ ROOZE ke pabandi karta rahoonga MAA BAAP ke nafarmani Juth Geebat Chuglii Waada kheelafe Bad negaahe Galii Galooj Filmee Drame wageera wageera gunnaho se bachta rahoonga.
Ai ALLAH mere is tooba ko qabool farma aur mujhe mere eraade mein sabit qadam rakh.
Tajdeed-e-Nikah zaroore hai kufur bakne ke baad warna biwi halal nahi hogee aur zena ke zemree mein aigaaa.
Nikah mein gawaa balig aulad ko bhi bana sakte hai aur meher bhi mutaaieen karna hogaa agar biwi maaf karna chahe tu maaf kar sakte hai leken zebardastee maaaf nahi kara saktee.
Agar kese jamee sharait peer ya Wali ke mureed the tu baait khatam hogai kufur baakne k baad phir se bait karnee hogeee. |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:4th Sep 2009, 4:51pm |
|
|
paroot bhai salaam thank you very much. |
New |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 61 Post: 226 Age:
36
|
|
Posted on:5th Sep 2009, 4:06am |
|
|
re to kia waseem bhai mein islam sai kahrij ho gia hun. mein nain tu mazakan kaha tha. aksar log istarhan keh daitain hein agar kisi ko koi dukh waghaira ho. ab mujhe dobara tahdeedeiman kerna parai ga mein to shaadi shuda bhi hun. doobara nikkah kerna parai ga.
my full name : Khuram Ehsan mothers name : Kalsoom akhtar
|
New |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 61 Post: 226 Age:
36
|
|
Posted on:5th Sep 2009, 7:40am |
|
|
pata na hona ager kisi ko pata na ho keh istarhan ki batain kufr hein aur app logon kai batanai per pata chalai to phir bhi tajdeed-e-iman aur tajdeed-e-nikkah kerna parai ga?? |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:5th Sep 2009, 5:00pm |
|
|
new bhai salaam g han bhai app ko tajjdedeh emaan kr k phr tajdeedeh nikah lazim hy waseem08 ne apko tajdeedeh emaan or tajdeedeh nikah ka tareeqa bata dia bas wesa kr len or kuch ny or ye yad rakheye k kufer me laa elmi auzr ny hy q k baligh hone k bad zaroori elmm deen app pr frzz hy to ye auzr ny chalegaa k maloom ny hy app tention mat lo or bataye gay tareeqe se 01,tajdeedeh emaan,02,tobaa,03,tajdeedeh nikah...bass or kuch ny or istakhara appko krk bata dongaa salaam. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:6th Sep 2009, 3:27am |
|
|
new waseem waseem bhai : wassalam and jazakallah
New: jee ha agar kese shaks ko pata he nahi k uss ne jo baka hai wo kufur hai ya nahi ya gusse mein bak deya aur yaad nahi hai tamam suratoon mein kufur ka hukum laag jata hai ess k leye janna zaroore nahi k app ko pata ho ya na hoo yeh galate uss ke hai k uss ne elm haseel q nahi kya jes se uss ka iman zaya ho sakta hai...
mazaq mein Allah k baree mein esse baat karna se insan ko kanp jana chahe k apne rab k baree mein esse ghatiya alfaz kehne k baad uss ka iman zaya ho sakta hai...
Book " Iman ke Hifazat " mein be shumaar ese kufriya kalimaat example k toor per lekh kar hum musalmanoo ke iman ko zaya hone se bachane ke khoshees ke gaye hai app se guzarish hai k ess book ko haseel kejea yeh book Maktaba tul Madina se haseel ke ja saktee hai.. |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:7th Sep 2009, 7:03am |
|
|
new bhai salaam Khuram Ehsan bhai apka isstakhara ho chuka hy isstakhara me ye hy k aap logo pr koi jado ny howa hy haan karoobaar ki barbaadi k liye bandish ki gy hy jo k abb b barkaraar hy waseem08 ka mushwara hy k jitna jldi ho iss bandish ki kaat krwalen kisi sai aamil se jo shareat ka paband ho,salaam.
|
New |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 61 Post: 226 Age:
36
|
|
Posted on:24th Oct 2009, 7:37am |
|
|
waseem08 Waseem bhai, yeh sahi Alim jo shareeat ka paband ho, hum kahan sai talash karein Faisalabad mein koi kisi aisai alim ko jaanta hai. yahan to mera khial kafi log sirf paison kai peechai bhagtai hain aur logon ko lottai hein. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:25th Oct 2009, 2:36am |
|
|
New Bhai Agar app ko abhi bhi yehe shak hai k kese ne app per ya app ke family per koi bandeesh kara de hai tu app ko tension lene ke zaroorat nahi hai app ess link per mojood form complete aur sahi information k sath submit kar dee Inshallah agar bandesh hogee tu kaat kar de jaigeee. aur ye service free of cost hai 1 pai bhi app se koi nahi lee gaaa. khud bhi use kare dosro ko bhi targeeb dee.
yeh online kaat service hai.
dawateislami.net/services/servicesHome.do?si=7 |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:25th Oct 2009, 2:38am |
|
|
kufur kufur chahe mazaq mein kaha jai ya acha jaan kar kaha jai ya gusse mein baka jai ya jaheleyaat ke bina per kaha jai har soorat mein yeh kufur imana ko zaya karne k leye kafi hota hai... |
|