Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Can A Brother And Sister Walk And Sleep Together?

Religion and Culture
 
 
 
Spider007 Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 11  Post: 17  Age:   
Posted on:6th May 2009, 9:25pm
 

Can A Brother And Sister Walk And Sleep Together?

 

Main aap doston se ye pochna chahta hoon ke jaisa ke aap doston kayee topics par kaha ke behan aur bhai ek hi kamre main sleep karsakte hain, bhai behan koo gud main utha sakta hai incase of emergency for hospital,

Mera Sawal ye hai agar Behan aur Bhai kisi hill station par jayein tu wo ek hi kamre reh sakte hain aur kiya kisi hill station par ek dosre ka hath pakr kar chal saktein hain?

May a brother and sister sleep togather in a room and walk with holding hands of each other on a hill station.

 

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:7th May 2009, 3:11am
 

spider

agar to wo baligh hain to phr ek kamray mein akeley nahi so sktay

haan agar parents bhi sath hain t phr so sktey hain

aur baligh hain to ek dusrey ka hath bhi na pakreyn

emergency mein utha k hospital ley jana ya hath peker lena....wo sub ALLAH muaaf ker dey ga lekin jaan bujh ker aisa kerna gunnah mein shamil hai

Innocent05 Group: Members  Joined: 17th Aug, 2007  Topic: 11  Post: 22  Age:  29  
Posted on:7th May 2009, 9:16pm
 

Han chal Saktein hain

 

 Wo aik hi kamre main sleep karsaktein hain, pakistan main mostly families main har bachay ke alaida kamra nai hota, wo sab akathey sotein hain. agar tu ghar main akele hoo tu bhi ape aik hi kamre main akele soo sakte hoo lekin alag alag bister par.

 ape aik ek dosre ka hath pak saktein hain ise main koye burai nahi hai aur ape akele door tak walk par bi jaga saktey hain kis hil station wali jaga par.

 Zeb ji kahain ye likha hai ke behan koo gud main uthaney se Gunah milta hian, ape apni sister koo jab chahain gud main utha saktein hain aur hug  kar saktein hain if there is no temptation or fitnah.    

Pkman Group: Members  Joined: 04th Apr, 2009  Topic: 0  Post: 49  Age:  36  
Posted on:8th May 2009, 11:17pm
 

re: Can A Brother And Sister Walk And Sleep Togather?

Yes, Of course!
A brother can sleep and can walk with holding hand of his sister in this situation.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:9th May 2009, 6:03am
 

rE: Zeb

agar to wo baligh hain to phr ek kamray mein akeley nahi so sktay haan agar parents bhi sath hain t phr so sktey hain

behen bhai sab kuch karsaktey hain warna wo behen bhai kyun kehlayen phir ?.......apne jo baat ki hai wo aesi sorat main hosakti hai jab bhai/behen ki soch main gandgi ajaye aur aese cases zahir hai parents ki ghalat tarbiyat ka hi nateeja hosaktay hain.......


aur baligh hain to ek dusrey ka hath bhi na pakreyn

ye apko konsi shariyat larahay hain ? aesa kuch nahi hai, bhen bhai ka rishta pakeeza hota hai aur ye ek natural baat hai ALLAH TALAH ki taraf se k wo haath pakrain ya hug karain, behen bhai k dil hamesha saaf rehta hain ek dosre k liyain


emergency mein utha k hospital ley jana ya hath peker lena....wo sub ALLAH muaaf ker dey ga lekin jaan bujh ker aisa kerna gunnah mein shamil hai

bilkul ghalat, appne lagta hai talibani camp main panah le rakhi hai jabhi aesi batain kar rahay hain , bhai behen ek dosre k liyain pure mehram hai aur ek hi kook se niklay hotay hain ..........app plz is baray main apne baron se sahi rehnumaye lain.......


gharz bhai behen main kuch gunah nahi hai, jabtak k apki khudse soch kharab na hojaye kiss/hug/sleep waghera kartay wakt........iska ilaaj yehi hoga k apni soch ko sahi karain aur ALLAH TALAH se hidayat talab karain




s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:10th May 2009, 1:45am
 

very well said...

nice reply by Hitman. I agreed with u.
mere kehne k lie kuch raha hi nahi.buhot hi acha reply kia hitman ne..
wese mazzey ki bat btaon aaj kal mere chotey bhai (jo mojhse bare hain) mere hi room me so rahe hain...

bas main sirf itna kahon gi k insan ko apni soch theik rakhni chahiye.haan pr Islam ne itna zaror kaha hai k jab baligh ho jaein to aik hi bister pe aik sath na soein to acha hai.aik hi room me soney me koi harj nahi.



s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:10th May 2009, 2:03am
 

wese ager

behn bhai ka rishta esa hota to phir Islam sab se pehle yahan pe parda krne ka hukum deta...

ab yehan (Saudi Arabia) ka mahool hi kuch esa hai k jab kisi buzurg ko mila jae ya phir saas,suser hon ya behn bhai to sab se pehle milte hi os ke maathhey (forehead) pe kiss krte hain aur phir os k hath pe.tab ja k aik dosre ko milte hain.ab chahey ye aik behn ese mile ya phir bhai.
waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:10th May 2009, 8:17am
 

salam

kia ap log alim hy jo ap logo ne apni bato me sharyat ka zkr kr dia,,,i m sory to say but zeb is 100% sai hai kia ap logo ko ny maloom k srf smajhdar bachon ka bister algh kr dene ka hukam hy baligh to doooor ki bat hy or kia ap logo ko maloom ny hy k islam me baligh bhan bhai ka kia hukam hy ek kmray me soo skte hen per waleden ki mujodgi me akele hrgz hrgz hrgz ny or bhai bhan ka haat pkr skta he per chuti bhan ka baligh ak ny gud me uotha skta hy per chuti bhan ko jo k smajhdar na ho baligh to door ki baat hy bare muzrat k sat khunga k jb k c baat ka pata na hoto khas kr islam k bare m to yun khedana chahye k <wallaho alam> ye khedana b adha elm hy<hzrt ali>kia ap log yurup k ftne se na ashna ho.meri bat buri lagi ho to mafi chahata hon salaam.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:10th May 2009, 12:37pm
 

rE: Weseem "the jurist of babylon"


There is nothing wrong with a man sleeping in the same room as his sister, each in his or her own bed, so long as nothing can be see of their ‘awrahs.

In the case of her brother or other mahrams, the woman’s ‘awrah is all of her body except that which is normally visible such as the neck, head, hands, feet and calves.
His ‘awrah with regard to her is the area between the navel and the knee.

But both of them must take precautions when going to sleep, by wearing something that will cover their ‘awrahs and prevent them from becoming uncovered. Because sleeping is a time when the ‘awrah is likely to be uncovered and desire may be provoked

he Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “When your children reach the age of seven years, separate their beds and when they reach the age of ten, smack them if they do not pray.” This hadeeth was classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, no. 418. 

The scholars explained separating them in their beds as meaning two things: 

1 – Separating their beds, which is the apparent meaning of the second hadeeth.

2 – Not letting them sleep naked in one bed, but if they sleep in their clothes without touching one another, that is permissible so long as there is no risk of fitnah.

Zakariya al-Ansaari (may Allaah have mercy on him) said: Separating them in their beds means two things: giving them each a separate bed, or letting them sleep in one bed, but apart from each other and not touching one another. The latter should be sufficient because there is no evidence to suggest that the hadeeth should be interpreted in the first way only. Al-Zarkashi said: it is to be understood according to the apparent meaning, which is correct because of the following hadeeth: “Separate their beds” and it is supported by the meaning which is the fear of something haraam.


Reference Link:  http://www.islam-qa.com/en/ref/78833

---------------------------------

Ab ye na kehna k ye tamam batain mera fatwa hain , lo ji tumhain soboot bhi dikha diya hai, ab tumnay jo humse ikhtilaaf kiya hai wo kin basis pe kiya hai,......laoo apna soboot aur defend karo jo kuch tumnay upper kaha hai........
warna meri nazar main tum talibani mullah ho........(mazirat k saath)
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:10th May 2009, 12:44pm
 

Mazeed

Ab aese bhayon/behno ka kya kiya jasakta hai  jo k apni behen/bhai ki izzat k lotaray banay bethay hotay hain aur ghalat nazar daalnay ka khadshah liyai hotay hain dilon main/ya daaltay hain jo k kisi ghair k saath karne se zyada badtar amal hai ...........bas dua hi hai k ALLAH TALAH aese logoun ko naik hidayat ata farmaye........
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2263  Age:  32  
Posted on:10th May 2009, 3:49pm
 

agreed to zeb

agreed to zeb bhai 100%

jahan tak main ne suna hai ke Baap aur Adult Beeti bhi alehda nahee beth sakte ..  Laikin in majboori islam is flexable... I dont have the refrence at this time..  Hikmat e amli ke tehat adam aleh salam ki aulad main bhen bhai bhi shadi karte the nasal brhane ke lea....   Bhen aur Bhai beshak bhut paak rishta hota hai aur kabhi zehan main aisi baat ati bhi nahee laikin shetan can make things possible... to bhen bhai to waqi bhut naik khyalat ke hon laikin shetan ke khyalat naik nahee hote....   shetan will do any thing to make Bad.,  are yeah bhen bhai main ager sex ya ghalat nazer perna bhut choti baat hai...  bari baat  to yeah hai ke shetan hmara emaan kharab karde aur apne Nabi ke bare main ghalat khaylat karde to yeah bari Baat hai...   ilegal sex is still forgiven ager toba kar le jai... Laikin Eman hath se nikal jana Phir forgivness milna to bara hi mushkil kaam hai...   

   aik aur example hai ager ham 4 foot chori aur 25 foot unchi dewar per chalna shoro karden to bara mushkil hain neche girna laikin ager hosh na rahe aur hum bhool jain ke hum onchi dewaar per chal rahen hain to girna mumkin to hai na...  isi trah allah pak ne bhen bhai main uthna bethna allow kia hai laikin ager bhai apne hosh khode kissi bhi waja se ya sharab pe ker gher ajai to phir shetan sargaram ho jai ga aur burai karwane ke koshih kare ga... to bhetar yahi hai ke chahe woh dewaar 6 foot wide bhi aur hum ne sare zandgi us per chalna ho to yes it is still possible to fell down...  so if it is possible then why not take percautions and dont go that way....  

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2263  Age:  32  
Posted on:10th May 2009, 4:05pm
 

mazeed

yeah baat waqi sahee hai ke bhen bhai main sex bhut bhut bhut mushkil balke na mumkin lagta hai ..Laikin mumkin hai...  laikin ager na mumkin hai to why heard even in pakistan Baap and beti ka sex..   to maloom howa ke it is Possible to have sex between Bhen bhai and Baap beti...  larki kitni bhi koshish karle apne jisam ko cover karne ke laikin aik hi gher main rehte howe bhut martba larki cover nahee karpati some parts of body but other hand bhai ki nazar per bhi gai to bhai apni nazar ka rukh badal leta hai aur sab thek rehta hai ... laikin ager aisa akele main bar bar   bar bar hoga to shetan will be there...  so its no us but shetan will make it happen..   baqi yeah sab bhen bhai etc...  etc...  allah ke lea sirf insaan hain yeah rishte to insan ko support kerte hain sister gher main Bhai aur baap ke sai main balke hifazat main rehti hain shadi hone tak...   Insan ko kabhi bhi koi dawa nahe karna chahe bus allah se madad mangte rehna chahe..    
TheRock Group: Members  Joined: 24th Aug, 2008  Topic: 32  Post: 756  Age:  29  
Posted on:10th May 2009, 5:13pm
 

@@@zeb

Senior reply hoo kar aaj tumne  jaahiloon waali baat kardi yaar knowsense baat ki hai zara tum khod soochnaa is baare meee k tumne kia likhaa hai yahan baat behan bhaii ki horahi hai zara ghoor se parha karoo pir reply kiya karoo mere bhaiii samjay
misha_ch Group: Members  Joined: 06th May, 2009  Topic: 1  Post: 482  Age:  25  
Posted on:11th May 2009, 6:14am
 

side effects of haraam rizq

wow gr8 reply......"bhetar yahi hai ke chahe woh dewaar 6 foot wide bhi aur hum ne sare zandgi us per chalna ho to yes it is still possible to fell down...  so if it is possible then why not take percautions and dont go that way.... " 

agreed 2 system 

islam main kuch cheezon ki ijazat hoti ha lakin aaj kal jo fitnay phail rahay hain un main ihtiyaat  he achi ha.....keon k west k baad ab yahan b in rishton ki hurmat ko paamaal kiya janay laga ha.......ye sab bay hayaeee  haram rizq k side effects hain

but zeb ki ye baat theek nahi k agar emergency main b godh main utha liya to Allah maaf karay.......keon k aurat k saath mahram ki mojoodgi hoti he isi liay ha k agar emergency ho to us ka mahram he usko sanbhaalay

Wallahu aalam

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:11th May 2009, 9:26am
 

rE: System


apki ye baat  "ager bhai apne hosh khode kissi bhi waja se ya sharab pe ker gher ajai to phir shetan sargaram ho jai ga aur burai karwane ke koshih kare ga..", zahir hai hum jese logoun pe apply nahi hoti hai, ye walay case hi alag hain jiska normal behaivior se taluk nahi hai, jabke hum loag ek nomal behen bhai ki baat kar rahay hain, jese k main ya app.........zahir ahi app sharaab tou nahi petay na ya agar baghair dopattay k dekh lain tou app janwar tou nahi ban jatay na ??? ya ban jatay hain ? (mazirat)


 larki kitni bhi koshish karle apne jisam ko cover karne ke laikin aik hi gher main rehte howe bhut martba larki cover nahee karpati some parts of body but other hand bhai ki nazar per bhi gai to bhai apni nazar ka rukh badal leta hai aur sab thek rehta hai ... laikin ager aisa akele main bar bar   bar bar hoga to shetan will be there...

pehli baat yeh hai ji k app kyun aesa karoge ? apki nazar bajaye behen k sar per ya hathon pe janay k private parts ki taraf hi kyun jaye gi?? aur agar ghalti se bhi jaye gi tou app itne shok se kyun dekho ge ?.........yahan baat ajati hai apki zehniyat ki........na k shaitaan ki , har baat shaitaan se related karna thek nahi ...........apki apni zehniyat kharab hogi tabhi aesa hoga na.........ya khud hi hojaye ga......

khair apka apna nazariya hai main is se kya ikhtlaaf karon ab, yehi kahonga k ALLAH ka shukar hai hum aur app main aesi koi baat nahi hai jo humain precautions lena parain, ya app main hai aesa kuch ?  baat wohi hai k jo loag aesa feel kartay hain k unka emaan kamzoor hai beshak wo ehtiyaat karain........


aur jo link post ki hai main nay usmain ye baat clear hogaye hai k ye koi issue nahi....



System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2263  Age:  32  
Posted on:11th May 2009, 9:31am
 

misha_ch

thanks for understanding...  yes you are right it might be true due to Rizaq haram side effect ..  

As lot of people know in pakistan little while ago...   Brother and Sister TV Singers Zohaib and Nazia..  wanted to get marry... But thanks God they consulted this matter to a Mufti or Alim.. and avoided .. Nazia as i heared died .. God Bless and forgive her and all of us...

Wallah aalam...

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2263  Age:  32  
Posted on:11th May 2009, 10:03am
 

Hitman

main ne anser kia to web ne log off ker dia ... wait i will response...
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2263  Age:  32  
Posted on:11th May 2009, 10:12am
 

Hitman

zahir hai hum jese logoun pe apply nahi hoti hai,

Hazrat Umar    ka bete ko kissi ne dhoke se sharab pila de the....  I think unka name Abdullah tha... To yeah bhi normal halat ki hi Baat hai.. aur app ke bete janti hain... jesa ke unho ne khawab main btaya ke baba jan app ne bhut acha kia mujhe saza de ker.... Alhamdulilah main sharab nahee peta... aur na pehle pi hai...   wallah alam

pehli baat yeh hai ji k app kyun aesa karoge ?

kia app guarenti dete hain ke jab kabhi app garden ghumain ge to app ki nazar sirf ser ya hathon per hi pare ge.. 

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2263  Age:  32  
Posted on:11th May 2009, 10:19am
 

Hitman

aur agar ghalti se bhi jaye gi tou app itne shok se kyun dekho ge ?..

as i said in above post ke bhai apni nigah ke rukh ko foran badal le...

yahan baat ajati hai apki zehniyat ki

Insan apni kissi bhi chez per dawa nahee karsakta aur na karna chahe...  aur mujhe maloom hai shetan ke lea aisa karna bara mushkil hoga but again talk about possibilty....

 ALLAH ka shukar hai hum aur app main aesi koi baat nahi hai jo humain precautions lena parain, ya app main hai aesa kuch ?

Alhamdulilah mujh main aisa kuch nahee aur khushi howi jaan ker ke app main bhi aisa kuch nahee laikin hurt howa hon app ke is hit se...  khair appka kam hi hit karna hai Hitman jo howe..    hehe

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2263  Age:  32  
Posted on:11th May 2009, 10:23am
 

again

talk about possibilty.. jesa ke sahabe ke bete ke sath howa yeah sab shareef logon ke sath hosakta hai.... even though ke wo sharabi bhi na hoon...
1 2 3  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012