kim84
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
30
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 4:11pm |
|
|
What Are Benefits Of Using Chilies?
Dear Visitors, Good day, Mirchi below my sy kon si mirchi health k liyee ziyada khatarnak hi aur kon sii faiday mand......Mri mom kehti hi HARI mirchi sehat k liyeee achi hi....Mgar Red Chilli i mean LAL MIRCHI aur KALI MIRCHI sy door rahoo.... 1) LAL MIRCH 2) HARI MIRCH 3) KALI MIRCH Agar in chillies k kuch faiday hi tu bataye... Rgds KIM
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 4:13pm |
|
|
Members Meri members se request hain ke kim uncle ko 1) LAL MIRCH 2) HARI MIRCH 3) KALI MIRCH ke faidey batayen..thanx
|
kim84
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
30
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 4:14pm |
|
|
@ ALL Agar kisy k NICKS mry topic sy match krty hi ya un ko hurt krty hi tu wo ankhein band kr k topic read kry ya apna nick kha kr topic read kry......................hehehe Samjhnay waly samjh gayee hongy.........
Rgds |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 4:21pm |
|
|
Kim jee kya ho gaya hai apko???
Red Chilli ke beghair khana nahi khaya jata......maza nahi ata.....islye mujhe red chilli bohat pasand hai |
kim84
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
30
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 4:28pm |
|
|
Wah.....wah... My ny is FORUM py retirement k baad kisi k post ka reply nhi diya.....Magar ap k post ka reply baghir stomach my dard ho rha tha.....Wah wah...... |
sweetie
|
Group: Members Joined: 13th Jun, 2008 Topic: 11 Post: 509 Age:
33
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 5:00pm |
|
|
hari mirch baqi mirchon ke faiday kuch na kuch to hotay hi hongay, amooman to zaiqay ke liay hi use ki jati hai.
Kia ajab too ne har ik zarray main rakhay hain khawas,
kon parh sakta hai sara daftar in asraar ka.
Albata Hari mirch main dhair sari vitamin C hotay hain. Magar is ke beej nuqsandeh hain, is liay jo hari mirch zida use kartay hain wo hattulwusa is ke beej nikal lia karain, isi tara shimla mirch ke bhi.
agar ap ko mosmi nazla zukam ho jaay jis main aksar vitamin C chahiay hota hai to 2-3 hari mirch khali kha jaain, kuch is ki taseer se aor kuch is ki mirch se sab nazla wazla saf ho jaay ga :) |
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 6:11pm |
|
|
hmm
Red chillies, ya laal mirchain aur green chillies ya heri mirchain kisi bhi tara sahet kay liay nuqsaan dah nahi hain, haan albatta aik exception hay kay ager stomach ka ulser ho ya koi aur stomach ki baymaari ho tu iss ka istimaal na keran. Baqi in mirchoun ka koi nuqsan nahy hay balkay faiday hi faiday hain.
1-yah kai kisam kay cancers say bachati hain.
2-Inn main vitamin A aur C kaaafi miqdaar main hotay hain (issi liay ham miech kha ker CC kertay hain) jo kay Immune system kay liay bohat hi achay hotay hain, yani kay hamara jism baymaari ka muqaabla kernay ki ziada silahyat hasal kerta hay. Issi liay hamaray punjaabi culture main kaha jata hay kay jab tak mirch kay seeds stomach main mojood hain insaan ko bukhaar nahi cherta, aur na hi haiza hota hay.
3-Jin logoun ko arthiritus ka dard hota ho yani kay joroun ka dard un ko hamaisha taiz masalay aur garam cheesain recoomend ki jati hain, in main say aik mirch bhi hay. (iss kay ilawa ADRAK bhi iss baymaari main bohat zaberdast aser kerta hay)
4-Mujay theek nahi pata kayoun, lakin mirchain khanay say wazan bhi kam kerna nisbatan assan hota hay. Maira apna tajerba hay, balkay main nay abhi abhi heri mirchoun say ladha phanda salad hatam kia hay aur mairay kanoun main say dhouaan nikal raha hay.
Kaali mirch:
Iss kay itnay faiday hain kay yahan ginwaana mushkil hay, aur mazay ki baat hay iss ka nuqsaan koi bhi nahi. Even kay stomach ki kisi bhi baymaari main bhi aap yah kha saktay hain, aur right after delivery bhi, jab kay lal mirch khanay say mana kia jata hay.
Umeed hay kay aap ko iss say help milay gi |
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 6:18pm |
|
|
pinky baji nice reply |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 6:29pm |
|
|
Miss Pinky (Baray Loag) kya khobsurat shokh haseen jawaab diya hai appne, ab tou main red chilli say kabhi compromise nahi karon ga.....wesay topic entertainment side pe tha aur appne knowledge side pe kardiya.......zabardast....
For Topic: laal mirchain buhut hi teez aur chalak hoti hain, dekhnay main ye masoom lagti hain magar jab in ko moun main rakha jata hai tou lighter say chola jalanay ki zarorat nahi parti, kyunkay kaan(ear) say hi kaam chal jata hai......
is liyain mera khayal hai k baaki mirchain masoom hai siwaye laal chilli k, is liyain is say buch kar raha jaye, buhut hi khatarnaak hain ye, (aasteen ka saanp)......
Note: agar kisi member ka nick laal mirch say milta julta hai tou is main mera koi kosoor nahi.....kyunkay main nay tou sirf red chilli yani laal mirch ko bola hai nakay kisi member ko........
|
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 7:37pm |
|
|
hitman ne sahi kahaa hai un k name ka meaning hitman ye silent killer psitol wala nahi balkay baton wala hai |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 8:36pm |
|
|
Kim uncle aap ke topic mein koi khas baat nahi hai jis se koi hurt ho nice topic hai mujhe mirchon ke bare mein ziyada pata nahi hai isliye main ne members se kaha tha ke wo zaroor reply karein...main aisi baaton se hurt nahi hoti...aap apne dimaagh se ye baat nikaal deyn ..mujhe bhi pata hai ke duniya mein main akeli laal mirch nahi hoon.ke jab bhi koi laal mirch ka naam ley aur main apna samjh loon...
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 8:41pm |
|
|
Hitman ye soon ker bohat afsoos hua hai ke aap ko kissi laal mirch nagaan (asteen ke sanp) ne dhaasa hai...kia aap apni dukhi story yaha per batana pasand karein ge agar aap bura an mane to
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 10:25am |
|
|
Mazak bhi kisi churya ka naam hai k nahi Red Chilli Nani agar appko koi mazak pasand nahi hai tou theek hai appse ab mazak nahi kiya jaye ga, bas faysila hogaya..........yehi wajah hai k main nay note laga diya tha takay app us ko apne upper na lain aur mazaak samjhe....likin app hain k har baat ko serious jaan kar naraaz hojati hian.....
app ne bhi tou mujhe shitman bola tha biryani wali id say likin main nay tou koi reaction nahi dikhaya........
Moderator: ab wakt agaya hai new smileys introduce karanay ka.......takay red chilli nani ko mazak wala reply ek bara sa mazak wala smiley laga kar pesh kiya jaye.......
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 1:18pm |
|
|
Red-Chilli Aunty... (lol) Lagta hai Bewaqoof , Kali Zuban , Khan_80 & MyReply ki tarha app per bhi abb bura shak kiya jaa raha hai... ALLAH app ki hifazat karey (Ameen)
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:19th Jun 2008, 12:17am |
|
|
Beautystar uncle & Hitman uncle Thanks ...lagta hai sab ko shak kerne ki beemari ho gayi hai...
Hitman uncle: aap ko main ne Biriyani wali id se shitman nahi bola tha TEz mirch ne bola tha..aur ye Mirch aur tez mirch kis ki ids hain ye mujhe nahi pata meri jo ids thi main ne aap ko bata diya tha...aap apne topic Mirch he Mirch mein ja ker dekh sakte hain first page per Tez Mirch ne aap se ye kaha tha.....aap ilzaam mujh per laga rehe hain...
main ne aap ke mazak ka ulta matlab nahi liyaaa aur na he serious le ker naraz hoti hoon ..aisa to aik baar bhi nahi hua...khair aap log apna kaam jari rakhein...jis ka jo dil karta hai wo wohi kehta rehe .....
|
Sooth
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1937 Age:
|
|
Posted on:19th Jun 2008, 2:23am |
|
|
members don't divert this thread. |
ZZZ_NJ
|
Group: Members Joined: 14th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 85 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Jul 2008, 7:36am |
|
|
Chillies chillies are good source of vitamin C
|
z4u
|
Group: Members Joined: 23rd Mar, 2008 Topic: 13 Post: 199 Age:
34
|
|
Posted on:3rd Jul 2008, 7:46am |
|
|
Hot Blood chilly make u hot in winter.........it increase ur Blood circulation. |
|
For Detail Click On Page No: 1 |
|