The “Yoga” of Islamic Prayer
The "Yoga" of Islamic Prayer Royal society of medicine k journal k motabik "Yoga body,mind aur spirit ki personal development ka aik oldest system hai",yoga aaj kal aik fastest growing health trend bun gaya hai.ye centuries se movement ki healing power k torr per jaanna jaata hai. Yoga me kaheen "asans" ya body positions hotay hen,jo k desired lemgth of time k liay kiya jaata hai jis me recitation bhi ki jaati hai ya rhythms k saath breathing ki jaati hai.es k benefits kaheen doctors ne researche kiay hen aur doctors apnay patient ko bhi yoga recommend kertay hen. In fact,yohga itna popular ho gaya hai k office clerks ne simplified sitting version develop ker liay hai jo ye apnay desks per kertay hen.elderly,pregnant women aur athletes k apnay versions hen.interesting baat ye hai k millions of people jo aaj yoga classes join ker rahay hen 14 centuries pelhay muslims ko same(aur even superior) benefits k saath Islamic prayer ki form me milla. yoga ki simple form me physical, mental aur spiritual benefits hen jo k prayer me five times aik din me perform kiya jaata hai. Of course sari yoga positions Islamic prayer me nahi hen.however,hospital researches se ye pata chalta hai k patients ko even simplified yoga version aur hospital yoga programes se bhi kafi benefit hasil hoota hai,jaisa k Massachusetts me Spaulding Rehabilitation Centre per sirf five se seven yoga positions use hooti hen.
modern scientific research k motabik muslim prayer ki five positions hen,aur ye sari(prayer me ki jannay wali recitation k saath) humaray mental aaur spiritual well being se khaas relation rukhti hen,her din specific movements aur recitations se benefits tab hi hasil hootay hen jab position,action,positon k held hoonay k time ki length aur recitation ki techniques ko correct aur carefully perform kiya jaye.her prayer ki five positions yoga ki positions k parallel hen aur ye sub positions aik saath body k seven charka(energy fields ko activate kerti hen.chakra ki activation ka idea language k layhaaz se strange soung daita hai,laikin es ko sumajhna easy hai ager koi es ko kisi aur familiar language me translate keray. eastren healers ye believe kertay hen k her charka major nerve ganglia se correlate kerta hai.jo k spinal column se further branch out hoota hai.es liay in nerves ki activations k liay chiropractic adjustment ki zuroorat hooti hai ya phir medical stimulating device body k malfunction ko correct kernay k liay install ki jaati hai.
layman term me,charka ka idea ye sooch ker sumjha jaata hai k sense of feeling kis tara function kerti hai.aik insaan ye baat notice ker sakta hai jab uss k kisi body part ko touch kiya jaata hai tu wo part respond kerta hai zayada "aware" aur "awake" ho ker,dosera body part jis ko touch tu nahi kiya jaata laikin wo respond kerta hai because in dono ka nerve pathway aik hi hoota hai.jab aik insaan sitting position me hoota hai for example wo apni legs k baray me nahi soochta kuin k wo momentarily rest ki position me hooti hen;however,ager koi un ko touch keray wo phir zayada "aware" ho jaati hen.chakras bhi zayada terrr aisay hi work kertay hen.studies ye show kerti hai k jab body k kisi area ko touch,movement ya thought se activate kiya jaata hai tu es se specific physical aur emotional responses evoke hootay hen eshi tara jaisay ik smile happiness ki feelings ko evoke kerti hai aur actually circulation ko increase kerti hai – even ager koi smile se pelhay slunggish aur unhappy feel ker raha ho.yehi reason hai jis ki waja se Islamic prayer ki sub movements ko perfectly perform kernna important hai.in ko rush k saath tezi se perform mat kerain. Takbir aur Al-Qiyyam dono yoga k mountain pose se miltay hen.jo k posture,balance aur self-awareness ko improve kertay hen.ye position breathing aur blood pressure ko bhi normalize kerti hai es tara ye asthma aur heart patients ko bahot saray benefits provide kertay hen.Qiyyam ki position me chest per hands rukhna solar plexus (charka" ya nerve pathway ko activate kerta hai.ye world me humari awareness ko direct kerta aur muscular system,skin,intestine,liver,pancreas,gallbladder aur eyes ki health ko control kerta hai.jab haath du'a k liay open hootay hen ye heart "charka" ko activate kertay hen jis ko centre of feelings of love,hormony aur peace kahaa ja sakta hai aur ye love aur compassion ko control kerta hai.ye heart,lungs,thymus,immune system aur circulatory system ki health ko bhi govern kerta hai. muslim research ye show kerti hai jab insaan Quran ko recite kerta hai tu old thoughts,feelings,fears aur guilt release ya heal hoota hai aur vblood pressure aur stress level reduce hoota hai.virtually sub Arabic language ki sub sounds jo Quran ki rrecitation me hooti hen,body k sub effected areas me balance paeda kerti hen.kuch specific sounds in fact body k major organs se correspond kerti hen.Rudolph Steiner(Woldorf school ka founder) ne apni eurhythmy ki creation aur research me ye kahaa hai long vowels 'A','E' aur 'U' ko pronounce kertay waqt jo vibrations paeda hooti hen wo heart,lungs aur thyroids,pineal,pituitary ar adrenal glands laboratory test k doraan ko stimulate kerti hen. 'Ruku' ki position yoga ki forward bend position k smilar hai.Ruku lower back,thighs,legs aur calves k muscles ko stretch kerta hai aur ye blood ko upper torse me pump down kerta hai.ye stomach,abdomen aur kidney k muscles ko tone kerta hai.right angle(90 degree ka angle) ki formation Ruku me stomach k muscles ko develop kerta hai aur midsection ko looseness se prevent kerta hai. Ye position body k upper region me greater blood flow ko promote kerta hai – particularly hands,eyes,ears,nose,brain aur lungs me-aur mental toxins ko release hoonay mehelp kerta hai.time k saath ye insaan k brain function,uss ki personality ko improve kerta hai aur pregnant women me fetus ki proper position ko maintain kerta hai. Sujud "crown charka" ko activate kerta hai.aur person k uss k around universe se spiritual connections aur uss k spiritual persuits k liay enthusiasm se relate kerta hai.ye nerve pathway brain,nervous system aur pineal gland ki health se bhi correlate kerta hai.es ka healthy function insaan ki interior aur exterior energies ko balance kerta hai. Sujud me,hum bend kertay hen;jo k "base charka" ko bhi activate kerta hai.jo k human k basic survival instincts ko bhi control kerta aur essential grounding provide kerta hai.ye levelheaded,positive thinking aur highly motivated view of life develop kernay me healp kerta hai.aur lymph, aur skeletal system,prostrate,bladder aur adrenal glands ko maintain kerta hai.hum "sacral charka" ko bhi sujud me bend kertay hen,thus ye reproductive organs ko bhi benefit aur tone kerta hai. AL-Qaadah (ya Julus) yoga k thunderbolt pose ki tara hai.jo k toes,knes,thighs, aur legs ko firm kerta hai.ye kahaa jatta hai k ye un k liay good hai jin ko excessive sleep ki habit hooti hai aur jo long hours k liay sleep kertay hen.furthermore ye position speedy digestion ko bhi assist kerti hai,aur liver ki detoxification ko aid kerti hai aur peristaltic action ko bhi large intestine me stimulate kerti hai. Last but not least "throat charka" akhir me prayer ki closing k time head ko pelhay right aur phir left shoulder ki teruf turn kernay se activate hoota hai.ye nerve path throat,neck,arms,hands,bronchials aur hearing se link kerta hai – jis se individual ki creativity aur communication effect hoti hai,hum sub ko chahiay k prayer perform kertay time uss position,recitation aur breathing ko attain kernay k liay strive kerain jo k hadith me recommend ki gayi hai – ye hi same perfection ki techniques popular yoga me sikhayi jaati hen,tai chi, aur doseri kaheen exercise classes.
|