pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:28th Jan 2008, 3:53pm |
|
|
Epidural Anesthesia During Labour And Delivery Part - 1
Epidural Anesthesia kia hota hay? Epidural Anesthesia dard ko rokanay ka aisa injection hay jo kay jism kay kisi haas hisay ki dard ko rokanay kay liay uss hisay per lagaya jata hay, aur medical ki zuban main issay Regional Anesthesia ya Local Anesthesia kahtay hain. Yah COMPLETE ANESTHESIA say mukhtalif hota hay jis main mukamal toar per insaan ko bayhoash kia jata hay. Delivery kay waqat yah injection aurat ko delivery ki shadeed dard say bachanay kay liay lagaya jata hay. Yah injection aurat ki kamer main jisam kay nichaly hisay kay kareeb lagaya jata hay jis say uss kay jism ka nichla hisa iss haad tak suun ho jata hay kay wo delivery kay waqat bacha paida kernay wali shadeed dard aur takleef ko bilkul mahsoos nahi kerti. Epidural kaisay dia jata hay? Iss injection ko laganay ka kaam her doctor nahi ker sakta iss liay jab bhi epidural lagwanay ka plan ho tu check ker lain kay laganay wala ANESTHESIOLOGIST…wo doctor jo anesthesia ka specialist ho…..hi hay. Iss injection ko laganay kay liay 2 postions ikhtiyaar ki ja sakti hain. 1- Sitting positon 2- Left side per laitna donoun positions main aurat ko kaha jata hay kay wo apni kamer ko kammaan ki tara thora moar lay yani bilkul seedha na baithay ya laitay. Iss kay sath bohat hi zaroori hay kay aurat dard ki wajja say ya kisi aur waja say bilkul apni jagga say na hilay. Iss kay baad anesthesiologist kamer ko ANTICEPTIC SOLUTION say saaf keray ga takay kisi kisam kay infection ka hadsha na ho. Yah kernay kay baad doctor aik chota sa injection lagata hay kamer main takay wo kamer kay iss hisay ko suun ker sakay aur jab Epidural lagaya jay tu us ski takleef mahsoos na ho aur Iss sari tayari kay baad asal Epidural ki baari aati hay, jis ko kamer main I.V. ki tara say laggya jata hay aur phir isay delivery honay tak kamer main hi rahnay dia jata hay takay mutaqil toar per medicine jism main jati rahay. Yaad rakhain kay yah derasal aam tara ki needle nahi hoti hay iss liay iss say gabhranay ki zaroorat nahi kayounkay iss ko laganay kay baad aaram say baitha ya laita ja sakta hay. Note: Iss injection kay baray main mazeed tafseel kay liay part 2 perhain.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 3:53am |
|
|
to pinky thanku pinky
kafi acha article hai......
1. lekin ye main ne kisi se suna tha k is injection k future mein side effects ho sktey hain.....us ne kaha tha k future mein kamar mein rehney lagta hai....Kia ye bat sahi hai?
2. Epidural lagwaney k kon kon se side effects ho sktey hain? |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 8:54am |
|
|
Hard-Work Kafee acha Ariticle likha hai ... lekin maine eak lafz nahi pardha hai abhi ... lekin baad ma InshaALLAH app k sarey article zaroor read karoon ga ... Bas app apne mehnat jarey rakhein or NoorClinic k Admin. se apne Article ki ROYALTY letey rahein (lol) |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 9:36am |
|
|
nice info sab say pinky ko congrats writer bannay par..................................buhut hi achi information dehai app nay..................... ek question hai app say jab is injection ka asar khatam hojata hai tou phir takleef mehsoos hona shuru tou nahi hojati................
|
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 9:56am |
|
|
hmm Achha swaal hay, Mairay apnay tajerbay kay mutabik, iss injection ka aser delivery say taqreeban 3 say 4 ghantay kay baad hatam hona shuru ho jata hay aur ofcourse takleef mahsoosh hoti ho gi, lakin yahan doctors 1000 mg ki pain killers her 3 say 6 ghantay kay baad aglay 2 din tak daitay rahtay hain jis say kay pain ka ahsaas bhi nahi hota. Waisay yah her aik ka individual jism hay kay wo insaan kaisay pain masoos kerat hay. Average pain delivery kay baad 1 say 4 din main kam ho jati hay, aur 10 din kay baad bilkul hatam ho jati hay. Iss liay delivery kay baad doctor kay mashwera say pain killers ko ziada kam kia jasakta hay. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:29th Jan 2008, 1:13pm |
|
|
re: epidural anesthesia pinkey ji
aap ne jis tarah yeh article likha hai woh her aik ke bus ki baat nahi. kio keh khood se likhna tu door ki baat hai is qisim ke article ka translation bhi aik doctor hi ker sakta hai. mujhe tu shak hai keh aap bhi aik doctor hai.
is article ka asal husn yeh hai keh aik technical mazmoon ko etne aasan urdu mai likha gia hai keh sab ki samajh mai aajai. doosra husn Roman Urdu ki hai. roman urdu mai mazmoon ko iss tarah likhna ke bilkul asal urdu jaisa lage yeh bhi her aik ke bus ki baat nahi. sab se ziadah aham baat yeh bhi hai keh mazmoon aik tasalsal mai hai aur urdu grammer ki bhi ghalti nahi hai.
really her lehaz se aik behtareen mazmoon hai.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:30th Jan 2008, 3:21am |
|
|
to pinky pinky plz reply to my question
1. kia is se future mein kamar ka dard rehney lagta hai?
2. othr side effects?????? |
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:30th Jan 2008, 11:41pm |
|
|
To Zeb Well,
Main nay kafi search ki hay aap kay swaal kay baray main aur kahin bhi aisa nahi likha hay kay epidural injection laganay ki wajja say MUSTAQIL kamer dard hota hay.
Yahan America main 50% say bhi ziada khwateen (according to stats) delivery ker liay yah injection lagateen hain, aur ager aisa hota to adhhi say ziadda khwateen yahan kamer dard ka rona ro rahi hoteen. Iss kay ilawa main nay her daffa yah injection lia hay aur mujay tu allah ka shuker hay aisa koi masla kabhi nahi houa.
Baat yah hay kay delivery kay baad pahlay 10 din say lay ker aglay 40 din tak bhi kai khwateen ko kamer main dard rah sakta hay aur yah bohat hi normal hay. Iss kay baad ager dard ho tu wo kisi kamzoari ya kisi aur wajja say tu ho sakta hay lakin epidural ki wajja say nahi. Aur yah maira apna tajerba hay.
Aaap apni wife say kahin, balkay hood yah kerain kay jo bhi DRY FRUITS ka mixture aap un kay liay banain, uss main KAMER-KUS naam ki jo kali si jer-booti ya patta nahi kia hota hay wo zaroor halka sa bhoon ker aur pees ker shamil kerain. 40 din tu kia 15, 20 din say bhi pahlay aap ki wife ka kamer dard na gaya tu bay-shak mairi paattai ker lain aa ker.hahhaha
Main beri expert ho gai hoon aisi batoun ki kayounkay yahan kisi nay tu anna nahi hota, jo bhi kerna hay apnay hi haath say kerna hota hay. tu ager aap ko aur kisi kisam ki info chahyay tu plz zaroor batain.
take care of ur wife |
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:30th Jan 2008, 11:45pm |
|
|
To Sitara wa wa kia baat hay janab ki!!! App itnay zaheen hain kay perhay bagair hi sirf SSHOONGH ker batta daitay hain kay konsa article achha likha gaya hay.
Waisay mairi ROYALTY sirf yah ho sakti hay kay Dr. PK mujay TIPAAL DANE-DAAR ka aik dabba baij dain, kayounkay jab say main nay article likhna shuru kiay hain koi 6,7 daffa cha-aay jalla di hay, hahahhahahaa
Ab daikhtay hain kay yah DABBA kab pohanchta hay!!!! :D:D:D::D:D |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:31st Jan 2008, 3:22am |
|
|
to pinky thanku soooooo much pinky
so nice of u :-) |
|