Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Afsanay Lovers: Welcomed Here

Urdu   >>  Urdu Story
 
 
* Noor Clinic *
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:19th Jun 2008, 7:49am
 

Urdu Afsanay Lovers: Welcomed Here

Any one got intrest in afsana r welcomed here

Zinda Dargor

Woh aik software house main kaam karta hai. 2 saal pehlay us nay yeh naukri shuru ke. Or sirf 2 saal main woh project manager ban gaya hai. Us k dost us pe raskh kartay hain. Or rishtay-dar fakhr…

Woh waqt pe daftar aata hai. Sub say haal poochta ha or phir kaam main lag jata hai. Pehla aik ghanta us ke team farig rehti hai. Us waqt woh clients ke emails parhta hai or aaj ke kaam ka taiyun karta hai. Phir woh sub ko un k hisay ka kaam batata hai. Or sara din un k saath khud bhe kaam karta hai. Sham ko sub k janay k baad clients ko email karta hai k kia kia kaam ho gaya hai Or kon sa rehta hai. Or 6 baj jatay hain to woh ghar chala jata hai.

Ghar ja k woh chaye pita hai. Ghar walon say baatain karta hai. Or khana kha k apnay kamray main chala jata hai.

"Or kisi ko pata nahi chalta k woh mar chuka hai… Na daftar walon ko na ghar walon ko… Roz woh us say miltay hain par kisi ko andaza bhe nahi hota k woh zinda nahi raha… Sirf woh janta hai…"

Yeh batanay ka koi faida nahi k mohabbat kab hoi?
Kis say hoi?
Mohabbat main kitna arsa guzra?
Kitnay khawab deekhay gaye?
Bachon k kia naam rakhay gaye?
Or… Kitni bar kaha gaya k main tumharay bina nahi jee sakta…

Sirf itna jan'na kafi hai k judai aa gai… Jaisay har mohabbat main aa jati ha… Or rabtay munqata ho gaye… Oxygen kam par gai… Sansain laina dushwar ho gaya… Kisi ko pata nahi chala or woh mar gaya…

Woh intizar kar raha hai kab dosron ko bhe pata chalay or woh usay qabristan chor aayin…..!!

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:36pm
 

Sufaid Par Or Siyah Ankhain

Us k sufaid paron talay rait the. or meri siyah aankhon main aansoo thay. Woh us jheel pe marnay k liye aa gai the. or main wahan khara khara he mar gaya tha. Maan lijiye kabhi kabhi mardon k bhe aansoo aa jatay hain…

Jab kisi ke shashm-e-heraan main sitaray chamaktay thay tab humara khayal tha k humain mohabbat hai. or humain lagta tha k humari mohabbat sub say alag hai. or humain bohat mohabbat the, humain yehi lagta tha. or muneer niazi us waqt jhoot boltay thay k

Mohabbat ab nahi ho ge,
Yeh kuch din baad main ho ge,
Guzar jayin gay jab yeh din,
Yeh in ke yaad main ho ge..


Jhoot boltay thay…
Or pata bhe nahi chala kab parhai khatm hoi. Mujhay final exams say pehlay he job mil gai. Promotion hoti gai. Phir mujhay head office Lahore bula lia gaya. Us nay bhe job shuru kar de. Phir gher basanay ka khayal aaya. Kuch bhe to pata nahi chala…

Pata to us din chala jab us ke shashm-e-heraan or heraan ho gai. Humain nahi pata tha mohabat zaat nahi hoti. Zaat hi zaat hoti hai. Or us k abbu ko samajh nahi aa raha tha k woh jutt logon say bahar kaisay rishta tay kar dain. Yeh kabhi howa nahi tha. or isi liye nahi ho sakta tha. Or…. Howa bhe nahi… Or woh din guzar gaye… Shashm-e-heraan main sitaray na rahay. Jamal-e-abr-o-bara’n dobara nahi deekha. or ab lagta ha muneer niazi jhoot nahi kehtay thay…

Or us k sufaid paron talay rait the… Or meri siyah aankhon main aansoo thay…

.

=End=
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st Jun 2008, 1:42pm
 

Maa Jaldi Ghar Chalo(Arif Naseem)

Aaj us k chotay bachay ke salgira the kothi k bahir baghechay main be-shumar bachay khobsoorat kapron main malboos pholon ke tarh nazr aa rahay thay. us nay apnay bachay k sab doston ko khilonay diye or aaya ke beti ko bhe ik khobsoort see guria de..

Us nay mazboot hathon say guria ko pakar lia lakin wo ghabra rahay the jaisay wo khobsoorat or khush rang kapron walay bachay us par jhapat kar guria us say cheen lena chahtay hain..

Wo sehmi hoi un k bech khari the uska kurta Bohat mela tha us k baal mail say chiknay ho rahy thay us k pair gard say Utay howay thay. us k chehray or ankhon par ghurbat ke gard jam rahi the.

Jab us nay apnay hathon main Ek khobsoorat guria dekhi to usay yaqeen nahi aa raha tha k.. ye guria us ke ho chuki hai. us ke ankhain khushi say chamak rahi the. lakin wo ghabrai hoi bhe the kabhi guria ko to kabhi apnay ird gird bachon k hujoom ko dekhti or khofzada ho jati Guria ko seenay say chimta leti jaisy ye guria us nay chori say uthai ho...

Us nay man ke qamees khainch kar kaha "MAA jaldi gher chalo"

Shaayd us nay kabhi socha bhe na tha ke wo isay khilonay ke haqdar bhe ho sakti hayi. is liye us k hath kapkapa rahay thay ya shayad wo qemti guria khud us k hath say gir kar toot jana chahti the..

Ghara ye ke wo khushi or khoof k jazbat pe qabo na rakh saki uski ankhain dabdaba gain or us nay halq k bal cheekh kar kaha.........

"MAA jaldi ghar chalo warna guria chin jaye ge"
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd Jun 2008, 2:10pm
 

Thanday Lub

Main Star Buck coffee House main daakhil howa or baithnay k liye har taraf nazar doraaii lakin koii seat Khaalii nahi the. Main Order karnay waali line Main kharaa ho gayaa. Lunch kaa waqt thaa. Main ne sochaa k jab tak main khirkii tak pohonchon ga koi na koi seat Khaalii ho jaaye gee. coffee lene k ba'd ek daf'a main ne phir se jagah talaash karnay ke liye har taraf nazar dooraaii lakin koi seat Khaali nahi thi. main counter par taik lagaa kar kharaa ho gayaa. Har tarah k loog aa jaa rahe thay. Qareeb kee university se
taalib-e-ilm, office workers aas paas kee buildingon say or wo log jo k Khareedaarii se waqfa lay rahay thay.


Wo akeli glass kee deewaar k nazdeek ek kursi per baithii thi. Us ke Maiz per ek Khaalii coffee kaa cup thaa Or us kee nigaah maiz par rakkhe howay parchay par thi. baalon ke ek laTT us k gaalon ko chhoo rahi thi . Main ne us kee aankhon say aansuon ko gaalon per Dhalaktay dekhaa. Aansoo gaalon say phail kar kaaghaz k parchay par giray. Main ne andaaza lagaanay kee koshish kee k us kaaghaz per kia likhaa ho saktaa hai jo k ek Haseen larkii ko
sar-e-aam rulaa day…. Shaayad us se us k mahboob ne milnay ka Wada kiya tha lakin nahi aayaa yaa Khat ghar se aayaa ho or Waalidain ne us ke shaadii Or kisi se karnay ka Wada kar liyaa ho yaa Wo us kee parhaaii k paisay nahi bhaij saktay.

Main abhi yeh soch hee rahaa tha Or meri nazarain us per thi k us ne apni nazrain opar uthaayain. Hamaari nazrain ek lamha k liye milain Or us ne apni aankhon ko phir se jhukaa liyaa
.
"yeh aankhain kitni udaas hain". Main ne un ka dard mehsoos kiyaa. us ne Khat ko phir se parhaa or us k gaalon per kee ek lakeer see ban gai.
"Kia kisi ne ambulance k liye call kiyaa?".
Main chillaayaa………..


"Haan!"
Kisii ne kahaa



Main ne us k qareeb baith ker us ke nabz talaash karnay kee koshish kee. Nabz nahi thi. Main ne us k seenay par kaan rakh kar us k dil kee dharkan ko sunnay ke koshish kee. Dil bohat aahistagii se dhatak raha tha.



Koi chillaayaa, "C.P.R. to do"...Main ne us kee naak ko band kar k us k munh se munh mila diyaa. Us ko lambii lambii saansain dainay lagaa. Phir us k seena per pandrah baar dabaao Daalaa. Main ne phir se us k dil kee aawaaz sunni chahaa.

Khaamoshii……. bilkul Khaamoshii…….. Main ne phir se us ko apna saans dainay kee koshish kee magar us k lab sard ho chukay thay. Sarak par mukammil Khaamoshii chahaa gai…..



Dheeray se MaiN ne kaaghaz k parche ko us k haath se judaa kiya. us par likhaa thaa:



"MaiN tumhaaray baghair zinda nahi reh saktaa. Tumhain jab yeh Khat milay gaa, Main is dunyaa ko Chhor chukaa hoon gaa…"



Ek maddham aawaaz us k purse main rakkhay howay cell phone se aa rahi thi



MaiN ne phone Main kaha, "Jee"



"Kia Naaz WahaaN hain? Mujhay un ko neehaiot zaroorii paighaam denaa hai"



"Tum kon ho?",
Main ne poochhaa



"Main us ka bhai hoon. Naaz se kahnaa k Jameel zinda hai"



Mere haath se cell phone gir gayaa…!!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:6th Jul 2008, 1:59pm
 

..................!

Aik baar phir main heraan ho keh tumhain kin alfaaz main mukhatib karoon, Tum say kia kahoon ?

Tum hamysha say mujhay heraan he karti aaii hoo... kabhi khush-gawar andaaz main..kabhi na-khush-gawar andaaz tareeqay say....

Or main tumhain hamysha maayos karta aaya hoon, Magar kia karoon mainnay kabhi bhe jaan bojh ker tumhari dil shakni nahi ke ...

Jab bohat pehlay tum nay apnay dil ka haal mujhay sunanna chaha tab, mera woh rad-e-amal fitri tha .. meri jaga koi bhe hota woh yahi karta .. shayad yah meri kam-umari ke intehaa hai...

Aaj 5 saal baad tum jis ....... say mili hoo , woh toota howa , haara howa Shaks hai... jo khud pay aaitmad kho chuka hai..kisi dosray pay kia karta ...

Haan... mujhay aaitraf zaror hai keh is baar main nay jo kaha .. Tum usay aik noo-umr kam sin jazbati larkay ke baat samjh k nazar andaaz kar sako...

Tum theek he kehti the...


Muhabbat ka kia bharosa ..kabhi bhe ,,, kisi say bhe ho sakti hai ...
Lakin ........! sach yahi hai keh muhabbat ka kia bharosa..kabhi bhe ..kahain bhe nazrain badal sakti hai...
Mujhay tumharay jazboon ke sachaii pay shuba nahi ..magar us baat ke koi guranty bhe nahi the keh yah jazbay hamysha bar-qarar rehtay hain..


Tum soch rahy ho gee na ..keh main nay kitni khud-gharzi say kaam lia hai..bay-maani waham paal ker tum pe shak karta aaya hoon...

Lakin sochoo........ ! aisa ho bhe to sakta hai ...Shayad tum mujh say jitni Muhabat karti ho.. utni he nafrat karnay lag jati...

Shayad tumhain mere khushboo to kia ..saye say bhe uljhan mehsoos honay lagti..

Shayad tum jald he mujh say okta jaati...

Shayad tum mujh say apni muhabbat ko khud aik hamaqat qarar day deti...

Shayad tum mujhay apni zindagi ke sab say fazool khawish qarar day deti..

Main is shayad say darta tha..

Itna Parh Ke Shayad Tumhari Aankhon K Aagay Ghubaar Chah gaya ho ga ...

Is aik shayad k peechay main nay apni or tumhari donia ujaar dee,,,,,,,,!
Or yah shayad meri baqia umer bar-baad ker day or ab tum bhe is shayad k waar say mujhay ghaayal ker gaii

Khair Tum nay ab tak muhabbat ka dukh saha hai,, Muhabbat k honay ka , Muhabbat k na honay ka aazaab kia hai...

Main tumhain koi dukh nahi dena chahta ...Jis say muhabat ho ..usay na paana itna bara saneeha nahi...is kurb ke aziyat tum kia jaano jo muhabbat hasil hasil ho janay k bas inkeshaaf say milti hai keh yah woh muhabbat nahi ...Bas ham nay is ke chah ke the...

Jisay chaha jaye , woh badal jaaye, apnay kiye saray waday say mukar jaaye..yah dukh main seh chuka hoon..or ab shayad yah mera muqadar hai.. yahi mera sarmaya-e-hayat hai...



jab aap ko koi aasmaan pay bhaitha day or yak-dum say qadmoon k nechay say zameen tak khainch daalay... to ..............!
yah bad-sorat lamha tum he meri zindagi main laati , main is say pehlay mar jana passand karta ...


.......................! shayad tum kabhi meri muhabbat ko oorh lo...haan shayad...


Tum nay to sirf aik shayad k khoof say apni zindagi main naa-janay kitni roshniyaan samait lee hain.. or mujhay is aik shayad ka Jugnoo tama ker mere aagay k rastay .. pata nahi jagmaga diye hain .... ab baaqi umar is muhabat ke na-qadri k soog manatay guzar jaaye ...................SHAYAD


Shaad rahoo hamysha


Tumhara ..........sirf tumhara .......................!!!!



== End==
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:13th Jul 2008, 7:16am
 

HAAMZAD

Woh mosam garma ke khushgawar abar-aalod shaam the. halkay halkay badal her soo tair rahay thay. jab woh pehli baat us FAQEER say milay..yahi koi 8 , 10 saal k lag bhag un ke umrain theen.. us ka dost Gaaon k namber-daar ka aklota baita tha.. laad pyar main palnay wala...

un dino banjaron ke aik tooli aksar gaaon k paroos main dairay jamati , dais ba-dais ghomta. nai donia, naye rang, or us main bastay logoon say milan.....Yun jab bhe us basti k bahir un ka paraoo jamta . kia bachay kia boorhay toot partay.. mukhtalif qism k shoabday, baazi-ger, pangorhay or sab say barh ker chad pal k bay-fiker zindagi door door say logoon ko us or khainch laati.....
Yahan ajeeb o ghareeb or anookhi khabrian, Ejaadat un ka intezaar kar rahi hoti. Mukhtalf qisay kahaniyaan sunatay howay woh sab , her cheez say bay-niyaaz, logoon ko khush karnay main jatay rehtay...

Usi BANJAARON ke tooli say woh faqeer talluq rakhta tha..sir say paaon tak gerd say aatta howa ajeeb aadmi jis ke gardin mukhtalif rang k mankoon , mootiyun, koodiyun or loohay ke zanjeeron k boojh say jhuki hoi hoti... us rooz bhe guzishta dinoo ke manind gaaon k boorhon , jawanon main ghira howa woh keh raha tha ..

Aik pusht aati hai dosri jati hai...aftaab talu hota hai , gharoob hota hai phir woh apni usi jaga haanp kaanp ker jata hai jahan say nikla tha.. insaan ko us saari mushaqat say kia faida jo woh soraj k neechay karta hai .. maa'saway us ke, jaan jaaye keh majaazi ka wajood nahi or haqeeqat fana nahi..us ke raah main kaantay or phanday hain her jo raast hai or us ke hifazt karta hai. woh din say door rehta hai or baaqi andhay konwain k paaas ghaans chartay janver.
Hikmat ke ma;arfat un k liye hain jin ke roohain roshan hoon...Abhi yah jumlay us ke zubaan per he thay keh achanak woh apnay kalaaam ko darmiyaan main he choor ker apni chamkeeli or khoofnak aankhon say unhain ghornay laga tha..us per to us nay sir-sari nazar daali the lakin us ke nighaain us k dost per tik gaii theen.. jo apni jaanib us ko musalsal yun ghoortay daikh ker khud ko chuhpanay ke naa-kaam koishish ker raha tha.....
"BABA....jo koi zindagi ka mushtaq ho..Naik Ayaam jis k muntazir hoon jis ke manzalain mo'tayun hoon ...koon Kaafir us ko nazar andaaz ker sakta hai....Samany Aa....Dar Mat....BABA....."
Or woh samnay chala aaya tha....Dara Dara , Shema howa....

"Paishaani per chamkta roshan sitara....Haq noor walay.....Haq noor-o-noor......

Too Raaj karay ga....Ray......Bhalay naseeb walay to raaj karay ga

bas to teen tak jaye ga Baba..... yah sab karam k sooday hain.... kis ka karam kis k kaam aye aye koon janay...

BABA .....Donia Daikhay ge....""



Or yah kehtay howay us nay apnay galay main latki maala say aik sumandri Seepi jisay gaaon walay "Koodi" k naam say jantay thay..nikaal ker usay dee takay woh nazar-e-bad say bacha rahay or apnay naseebon ko paalay-

Yun us lamhay yah sab suntay howay wahan mojood sabhi afraad nay ajeeb see bay-chaini mehsoos ke the..Khaas ker us ke guftago k aakhri jumlay zoo-maani thay..un k pechay kia israar pin'haan tha kisi nay na mehsoos kia... is tarah woh Koodi us k galay ka haar ban gai.. yah un ke pehli mulaqat the.....Jo un k sha;oor oer gehray asraat chor ker mitt gaii...

Dosri baar taqreebon 7 . 8 Saal k arsa k bad dobara un BANJARON ka us Gaa'on k qreeb say guzar howa or unhoon nay pehlay ke tarah chand dino k liye wahan para'oo kia..Usi Roz itefaq say Chaudhry k baitay ka Aqeeqa tha... pori haveeli main mehmanon ke chehal pehal the jab us nay der per Sada utha'aii to donoo phir us k saamnay thay..woh or chaudhry ka baita mudat pehlay ke maanind us roz phir chaudhry k baitay ko daikh ker woh choonk sa gaya tha or phir chila otha tha...

" Aye bhalay naseeb walay ! teri paishani pehlay say bhe roshan hai..Bohat roshan to diloon per Raaj ker k rahay ga...
BABA..... per sun apnay Qalab ke jaanib towajah day BABA..Jis main azal say andiyat tujhay pukar rahy hai..To ghaflat ke bunyaad per jis cheez ko nahi karna chahta apnay fitri faraiz ke chahat say majboor ho ker tujhay chaaro-nichaar usay karna ho ga or woh din door nahi jab teri qismat ka sitara chamak uthay ga..."

Baap nay bay-inteha khushi k sath faqeer ko dil khool ker khairaat ke or apnay baitay k roshan , sonehri mustaqbil per khush howa..
Dosri baar phir us Banjaray faqeer nay apni Maala say aik or KOODI utaar ker usay dee or chalta bana...usi doraan woh donoo dost jawan ho gay or unhi dinoo us k dost k andar Muhabat ke chahat nay sir uthana shoroo kia..Ek din bhalay naseeb walay nay chupkay say us k kaan main apni khawish utaar de...

 

 

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:13th Jul 2008, 7:17am
 

continue

"Aye Us say....Banderiya say...jo aksar khojoor jaman jaisay oonchay darkhtoon ke choottiyun per paaii jati the.... us say muhabbat karay ga ... gher walay kabhi maanain gay....kabhi nahi....Aik majawar ke beti say pyar.....To dukh othay ga ray....Majawar ke beti chaudhry k gher ke zeenat banay yah na kabhi suna na howa....." per woh na mana

Us nay us ka mashwara thukra dia or banderiya ke jaanib jhuk gaya...ab woh donoo aksar akhthay oonchay oonchay darkhtoon ke phool-daar chootiyaan sir kartay or kachay pakay phal utaar ker kahatay nazar aatay.

Inhi dinoo tesri baar BANJAARON nay un k paroos main daira jamaya....or is baar un ke amad ka sun ker woh usay saath lay ker khud sanyaasi BABA ko dhoondhnay nikla...Phir dhoondh dhoondh ker akhir woh us tak pohanch he gaya.. unhain daikh ker aik ajeeb see muskurahat us k chehray per tair gaii or woh un ke baatain sun ker us k dost say bola..

" Chalay aye Naa..Mujay pata tha to aye ga..zaroor aye ga ..tera waqt qareeb hai ..to jo chahta hai main nay suna.. per BABA jo khushiyaan taluqaat say paida hoti hain woh ranj ka paish khaima hain.. un ke ibteda bhe hai or inteha bhe..Aqalmand kabhi in say masroor nahi hota..Naari to keechar bhara gharra hai or us main wohi gurta hai jis ka MURSHID us say naraz ho... tujhay kahain or jana hai or to kahain or ke khawish liye bhaitha hai ...Lay tesri or Aakhri bhe Lay... Or ja to woh sab paa lay ga jo tere naseeb main hai ..ab k shayad mudatoon na mill paain..Yahi hukam hai...BABA ...Haq Noor walay...Haq Noor-o-Noor "
Or us nay us ke tesri Koodi ko bhe pehli do k sath galay main latka lia tha...usi roz usay tesri Koodi khataknay lagi..Us k jee main aaya keh woh apnay dost say kahay keh woh is tesri Koodi ko faqeer BABA say na lay..per woh kia karta ..woh janta tha keh us k dost Muhabbat k jis rastay per gamzan hai wahan inkaar kahan or us nay yah sohtay howay chup saadh le the..... Phir waqt taizi say beet gaya tha..Or aaj mudat baad woh Faqeer BABA phir us k samany kahara us k dost ke babat poch raha tha..Boorha or Naheef, Us ke kamar jhuk chali the....Ankhain chundhiya gaii theen....lakin Ishtiaaq say us pal us ke chundheaii aankhain chamak rahy theen or woh usay daikh ker keh otha.......


"Kia khabar Hai .....BABA...

Kahan hai naseeb wala tera dost....Bhalay naseeb wala"....

Banderiya ka mehboob ..... kaisay guzaar raha hai zindgi apni....Bhali....Manzil mill gai usay....Us ke bay-chain Rooh ko....

Or us nay apni nam-daar aankhon ko jin main afsordagi ke gehri jhalak the chupkay say jhukatay howay ahista say jawab dia tha...


"Bohat achi...Chali....Bohat Naseeb Wali..BABA.."

Or aisa kehtay howay woh apni aankhon main aye howay aansoon ko peenay ke naa-kaam koishish karnay laga tha....aye kia howa ..Kia howa ....Boorha bay-qarari say bola tha..


"Aap nay theek he kaha tha BABA..Aap nay bilkol theek kaha tha....per kis qadar ajeeb-o-ghareeb keh woh roshan pay-shaani wala Raaj karay ga...Or waqi he woh aaj Logoon k dilon per raaj karta hai....
"Babay Changay k Hujray Main Bay-Barg-o-Baar darkht ke manind, Yak-o-Tanha mudat say band para......" yahan tak keh ker us ke zubaan lar-khara gai the.. or phir woh ronay laga tha....
" Aye rootay kyun ho Baba ..bori baat hai...kyun rootay ho Tum..Koon kehta hai keh woh yak-o-Tanha hai....Bay-barg-o-baat sookhay darkht ke manind....Baba woh kisi k zeer-r-Saya pal raha hai.... us k sookhay wajood say kisi bhe pal sabz koonpalain phootnay ko hain..woh takmeel-e-Zaat main ser-garm hai...yah to sab karam k sooday hain Baba...Kis ka karam kis k kaam aya koon jaanay..Daikh main dar-badar bhatak ker saari hiyaati us gohar nayaab k zara bher ko bhe na paa saka jo us nay pal bher main paa lia ... yah sab us k naseeb thay BABA..usi waqt Banjaaron ke dairay say kisi k gaanay ke LAAY othi jo door door tak hawaoon ko cheer rahy the..


Faqeera Faqeeri Door Hai
Jitni Oonchi Khajoor Hai
Charh Jaoo To Noor-o-Noor Hai
Gir Jaoo To Chakna Choor Hai.

Phir us nay aik naara buland kia " HAq Noor Walay ...Haq Noor-o-Noor " Or Bola kahan milay Ga Bhalay Naseeb Wala....Banderiya Ka Mehboob....."

Woh Pechay.....Us nay Babay Changay k Mazar ke Janib Ishara Kartay Howay Gardan Jhuka De....Wahan Mudat Say...Us Waqt Say Jab Say Banderiya Is Ilaaqay Ke Sab Buland Khojoor Say Neechay Kood Gaii The...Us Lamhay Us Ke Ungliyun Ke Seedh Main Banderiya Ke Qabar Gehri Kohar Main Doobi Bay-Sudh Pari Unhain Daikh The....
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:25th Aug 2008, 4:40am
 

Joogi.....!

Mairoo Bohut Khush Tha:Paint Ki Jaib Nee'lay Ha'ray Note Say Bhari Hoye Thi
Seemi Ko Ko B Aj Usay Dinnr Par Lai Kar Jana Tha,,Bachoon Ko B Funland Lai Kar Jana Tha
Wo Taiz Taiz Qadam Uthata Howa Ghar Ki Taraf Ja Raha Tha K Achanak Ak Na'ma'nos See Awaz Ne Us K Qadam Rok Deyea,,Samne Kafi Rash Nazar Araha Tha
Insani Fitrat Hai K Insan K Insan Har Bat Har Ceez Yonhee Bas Yonhee Tajaz'sos Ka Shekar Rehta Hai,Wo B Us Hu'joom Ki Taraf Chal Para..!

Pagle....Pagle....Main Pagle.....Tum Pagle....Sari Duniya Pagle.....

Us Pagle K Dhool Main Ate Hoyee lambay Seeyaa Bal Hawa Main Lambi Lambi Jhare'yooon Ki Maned Leh'raa Rahai Thai Us Ka Gee'rey'ban Zamane K Hatoon Caak Ho Cuka Tha....Wo AK Jogi Tha
Us K Hathoon Main Ghantiyaan Thi Jin Ko Wo Intehayee Maha'rat Say Edhar Udahr Gho'mata Or Un Ghantiyoon Ki Tan Tan Apas Main Gad'med Ho Kar Soreli Jhankar Paidha Kar Rahi ThiJaisay Kali Ratoon Main Khoo'ni Mandaroon Par Raks Karti Chu'rai'lon K Rag Or Sang'Geeth
Ak Kali Aee'nak Walay Shaks Ne us Jogi Ko10 Ka Note Pakrane Ki Koshish Ki
To Jogi Ne 10 Ka Note Us Shaks K Moun Par Wapas Mar Diya
Or Bola
Tum Lai Lo Yea Dulat....Pagle...Tum Pagle....Main Pagle.....Sari Duniya Pagle...Pagle Hain Sab...
Yeh Keh Kar Wo Phir Apne Dhamal Main Lag Gaya
Or Jab Ak Ak Kar K Sab Loog Wahan Say Serakne Lag Gayee To Jogi Ne Apne Theeli Uthayee..Theeli Main Sukhee Roote K Tukhre Apne Nokain Bhar Nikal Kar Nikal Rahai Thai...

Mairoo Jogi K Pechai Ja Kar Khara Hogaya...Or Us K Kan'dhay Par Hath Rakh Deya....Jogi Ne Morr Kar Mairoo Ko Daikha To Jogi Ki Angaroon Jaisee Ankhain ne Mairoo K Jism KO Andar Taak Jala Deya



Mairoo Bola:Mujhai Tumhri Kahani Suni Hai Mairo Ne Pehlay Hee Daoo Par Apne Pat'ta Show Kar Diya
Jogi Bola:Jaoo Baba Jaoo Konsi Kahani?Kam Karoo Apna..Ye Keh Kar Us Ne Apna rasta Leya
Mairoo Bhag Kar Baba K Samne Agaya Or Itneyaee Zid Say Bola,,,Baba Mujhai Apne Kahani Sonaoo Na
PHir Wo 2NO Fot'path K Thanday Farash Par Baith Gayee

Jogi Bola:Wo B Ak Mast Deewana Tha..Ak Tang Par Dhol Jamata Tha Log Har Sham Us K Gard Jama Howa Karte Thai
Yea Koi 8 YA 9 Sal Pehlay ki Bat Hai

Sohani Ak Sham Thi Magreb Main Halki Halki Sorkhe Pehli Hoyee Thi
Parinday Apni Apni AGhosh Ki Janeb Mai'ho'parwaz Thai
Main B UN logoon Main Shamil Tha Jo Us Deewane K Dhamal Daikhne Shai'had Ki Makh'kheeyon Ki Taran Tama Thai
(Kya DaiKhta Hon K Samne BeautiPalar Say Ak Cheray Par Nor Or chash'May'Badoor Mujhai Yad Karne Do)Yea Kehne K Bad Babay Ne Apni Ankhain Band Kar Le Or Soch Main Doub Gaya Kahee Lamhay Guzar Gayee...Han...Jogi Ki Awaz Ne Mairoo Ko Andar Tak Hela Diya
Han To Main Bata Raha Tha K BeautiPalar Say Ak Niklata Howa Qadam Tha...Lambay Son'hairee Bal Kamar Ki Sathaa Tak Lehraa Rahai Thai..Us Ki Nak Lambi Magar Jazeb'bai'nazar Thi..Us Ne Ak Ada Say Chashmaa Ankhoon Tak Sajaya..Phir Daein Dekha Phir Baein Dekha Phir Samne Daikha Or Filme Andaz Say Chasma Naak Ki Nuk Par Teeka Diya..Kisi 50 Sala Head'misteress Ki taran Chasmay Ki Oth Say Jogi Ko Raqs Karta Dor Say Daikhne Lage Phir Foth'pat Par Qadam Rakha To Driver Ne Gari Bilkull Us K Samne La Kar Gari K Darwaza Khol Diya Or Wo Us Main Baith Kar Hajoom Ki Taraf Ane Lagayee.....Jab Wo Hajoom K Darmiyaan Aa Kar khari Hogayee To Main Lashaoori Tor Par Ak Taraf Khesak Gya
Wo Boli:Ya Nach Kiyun Raha Hai
us Ka Sawal Son Kar Mere Elawa Jo Log Us K Kareb Thai Sab Us Ki Taraf Motawaja Hoyee...Magar Chandi Ki Nazroon Ka Mehwar Meri Zaat Thi

Main Ne Jawab Deya I Do Not Know
Urdu Main Bat Karoo Mister Urdu...Wo Boli
Mujhai Nahi Maloom Main Ye Keh Kar Wapas Holeya..To Wo Boli
Rukoo Rukoo Mister..Kahan Ja Rahai Ho? Bat Sonoo..Nach Nahi Daikho gay Muft Main

Beghree Hoyee Bap Ki Bhegree Hoyee Ulad Lagti Hai..Ye Bat Dil Main Keh Kar Main Agay Ki Taraf 2 Qadam Chala..Ruka...Chala....Or Pechai Mor Kar Dekha To Wo Kamar Par Hath Rakh Kar Bhanwoon K Ulte Sedhay Zaweyea Bana Bana Kar Muje Daikh Rahi Thi..Or Chasmaa Us K Sang'gay'mar'mar Jesi Nak Par Abhi Tak Teeka Tha
Ap Ka Naam Kya Hai..Bai Sakhta Mere Moun Say Sawal Nikal Gya..
Wo Kareb K Ak Hotel Ki Taraf Eshara Kar K Boli:Pehlay Us Hotel Main Chalo Phir Batongi
Main Dhobi K Kute Ki Manend Us K Pechay Chal Para...

Han Ab Boloo:Us Ne Kafi Ka Ak Ghont Laine K Bad Bola
Ap Ka Naam?Main Ne Phir Pocha
Shee'rein Wo Boli
Main Ne Kaha Boht See'rein Hai)
Abhi Jogi Ki Khani Chal Hee Rahi Thi K Us Ne Ak Moori Hoyee Tasver Nikale
Or Bola Yea Hai Wo LALA'RUKH

Boht Sundar Hai:Mairoo Ne Khulay Dil Say Tareef Ki
Jogi:Hafte Ka Din Or Doper Ka Time Tha...Shayad Aj Main JaldI Aya Tha Yea Us Ko Ane Main Der Hogee Hai
Phir Achanak Wo Agyee..Or....Phir Hum Shah'Ghazi K Mazar Par Gayee or Phol Charayee
Or Phool Sajayee Sheereen Ka Mathai Par Hum 2doo Sahil Ki Geeli Rait Par Chaly
Hamare Har Mulakat Par Hum Sahill Par Jate Thai
Kiyun K...Jab Hum Pathar Par Sir Jor Kar Baithe Hote Thai Or Hawa Main Nami Hoti Thi Or Hamare Samne Chooti Bari See'peeyoon K Dher Hote Thai Or Geeli Rait Say Bana Ak Ghar...Esay Main Koi Pehcan Nahi Sakhta Tha K Hamari Ankhoon Say Nikalne Wali Ansoo Hamare Andar Ki Tapish Ka Nateja Hai Ya Ya FAZA Ka Asar..


Us Din Raat 11 Baje Wo Apne Ghar Rawana Hoye,,,Main TAXI K Intezar Main Sarak Par Tanha Khara Tha Or Seereen K Khayaloon Main Ghom Tha..Acanak Us Ki Gari Berack Ki Awaz K 7 Mere Qadom Men Aa K Rukee Or Seereen Us Men Say Boli:Main Bhol Gyaee Thi k Tumhare Pass Gari Nahi Hai_Aoo_Ajoo_Us Ne Frntseat Ka Darwaza Khola
Jab Tumhen Yea Yaad Nahi K Mere Pass Gari Nahi Hai To Tum Ko Main Kaisay Yaad Rehgaya?
Muje Har Wo Shaks Yad Rehta Hai Jo Muj Say Milta Hai
Or Tum Say Milte Kitne Loog Hain Main Ne Pocha
Sirf Tum
Us K Cheray Par Koi Tasor Nahi Tha Magar Mian Mehsos Kar Sakhta Tha K Us Ki Kali Ankhoon Ki Pothliyoon Main Qous'say'qazan K Rang Utarne Lagay Hain
Us Ki Daa'ein Ankh Say Ak Nana Sa Shabnami Qatra Lambi Nak Ki Arr Leya Khamoshi Say Us K Naram Galoon Say Hota howa Mere Hathon Pe Ageera Jo Main Ne Us K Hath Pe Rakha Howa Tha



Wo Shayad Ak Hath Say Gari Chalane Main Maher Thi_Kiyun K Ofak K Us Par Sunsan Sarak Thi_Zindagi Ki Sarak
Raste Main Koi Rukawat Nahi Thi Jo Us Ko Dosraa Hath Istemal Karne Par Majbor Karti
Us K Liya Har Kam Ak Hath Ka Kam Tha

Wo Hamari Dosri Mulaqat Thi!

Hum Taron Ki Bat Karte_Hum Khe'kashaoon Main Naam Likhte_Kaliyan Cunti Or Baharoon Main Raqs Karte,Chand Hamra 7 Aa Kar Baten Karta Tha,Sitare Hamare Gird Jama Howa Karte Thai,Hum Ak Dosre Ki Ankh K Anso Pete Or Ak Dosre Ki Zindagi Jete Thai

Waqt Ne Ak Din Rukh Badla,Shayad Waqt Ko Meri Khoshi Ras nai Thi
Us K Walid Seher K Un Logon Main Say Ak Thai Jin K Seher Main Seeka Chalta Tha
Or Wo Gori Apne Bap Ki Har Hukum Ki Gulam Thi

Ak Din Main Ne us Say pocha K Tumhari MAA kahan Hai
us Ki Ankhon Main Pani Sa Agaya Or Us Ne Sha'hadat Ki Ungli Say 3,4,Bar Oper Ki Taraf Eshara Kiya_Main Ne Sir Utha Kar Dekha To Har So Nelay Asmaan Ki Cadar tani Hoye Thi

Us K Bap Ki Taraf Say Faisla Howa K Main Seereen Ka Humsafar Nai Ban sakhta
Yahan Taak K Main Seeren Ki Yadon Ko Yaad Karne Ki Jurat B Na Karon.


Muje us Astane Say Itne Payar Say Rukh'sat Keya K jab Main Gali Main Khara Khud Or Us
Azeem'o'shaan Banglay Ko Daikh Raha Tha TO Muje Pagle Pagle Ka Shoor Sonayee Deya

Mor Kar Dekha To Kitne Hee Bachai Hathoon Main Sang leya Muje Marne Ko Dor Rahai Thai Or Fazaa Main Ak Tarana Gunj Raha Tha....!


Ayee! Seher Waloon,K Sab Sang Jama Kar Rakhoo
Sona Hai Pechli Shab Koi Deewana Ho Cuka Hai.....!



Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:25th Aug 2009, 1:30pm
 

re: afsaaney

good afsaane

please submit more afsaaney

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:27th Aug 2009, 7:36am
 

@moderators

bahi is afsanoun main main nay kafi logoun ko kah k zabardasti apni tareefain add karaein thi woh sab posts delete ho gain hain un ko restore kar do bahiwarna main sakht action loun ga

@bewaqoof
thanx yar main inshAllah post karoun ga

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:27th Aug 2009, 10:40am
 

re: afsaaney

re: "bahi is afsanoun main main nay kafi logoun ko kah k zabardasti apni tareefain add karaein thi"

aap new afsaaney post ker de, phir se tareefai shuru ho jaaye gi.

mera khayal hai keh old inactive post ki editing hoti rahti hai, aur sirf Title ke mutabiq post ko rakh ker baqi comments ko delete ker dia jaata hai, takeh database per bojh kam ho sake.

ab comments nikalne ke baad sirf afsaney rah gaye hai, aur sirf aik hi page mai sab kuch aa gaya hai, iss tarah mazeed afsaney post kerne ki gunjayesh nikal gayee hai, agar yeh thread 3-4 pages ka hota tu mazeed afsaney post kerne ki gunjayesh nahi hoti.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:28th Aug 2009, 3:16pm
 

re: comments and afsanay

aap ko mashwarah hai keh aap aik thread mai sirf aik afsana post kare, iss tarah os afsana ke saath doosro ke jo bhi comments ho ge woh bhi mahfooz rahe ge. aik hi thread mai beshumar afsana post kare ge tu yahi ho ga keh ya tu comments rakhe jaaye ya phir afsana.
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to give interview on skype  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014