khalid1
|
Group: Members Joined: 08th Jun, 2008 Topic: 31 Post: 53 Age:
29
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 9:32am |
|
|
Musharaf
.....Edit.... Abusive Post...........
Moderator Note: Abusive and insulting post against Pakistani officials are not allowed here. You may be blocked due to abusive post.
|
sweet_koha
|
Group: Members Joined: 16th Jun, 2008 Topic: 8 Post: 25 Age:
29
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 10:12am |
|
|
The God forgive Musharaf Allah na Musharaf ku maaf keya hai kis tara main ne kush iss tarah suna hai k kue b insaan dosree k Ghebat karta hai thu us k sins kaam hute hai thu Pakistan k 16 core k Iwaam Musharaf k Gebat karti hai Har second mai.
aghar mai nai tek leka hai thu musharaf thu hum saab se pehly jannat pahunch jayeee ga kue k iss k sins thu belkul khatam hu jayee ge.
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 3:13pm |
|
|
Pervez Musharraf ki maqbooliat mai izafa ho raha hai re: "Pakistan k 16 core k Iwaam Musharaf k Gebat karti hai Har second mai."
Pakistan ke 16 karor afrad Musharraf ke khilaf nahi hai, balkeh sirf kuch leaders on ke khilaf hai jin ko awam ne mustarad ker dia hai like Imran Khan and Qazi Hussain Ahmed. aur aik leader Nawaz Shareef zati dushmani ki wajah se os ke khilaf hai. warna poora Pakista Pervez Musharraf ke saath hai.
ab jab keh new government ke aane ke baad doodh ka doodh aur pani ka paani ho gia hai tu beshtar log Pervez Musharraf ku duain de rahe hai.
Pervez Musharraf ke daor mai Pakistan ne ketni taraqqi ki woh sab ko maloom hai. aur new government ke aane ke baad Mahngayee ka jo sailab aaya hai woh bhi sab dekh rahe hai.
Nawaz shareef sahib ne wada kia tha keh election ke baad Aata Rs. 10/kilo ker de ge. Pakistan ke awam ne dekh lia keh election ke baad aata ketne Rs kilo farokht ho raha hai.
jaise jaise mahngayee barh rahi hai, mojooda hakoomat apni maqbooliat khoti ja rahi hai, aur jaise jaise mojooda hakoomat apni maqbooliat kho rahi hai, waise waise Pervez Musharraf ki maqbooliat mai izafa hota jaaraha hai.
Pakistan ki aksariat awam ki dua hai keh Allah Taala Pervez Musharraf ka saaya Pakistan per qaim rakhe. Aameen.
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 3:37pm |
|
|
@Bewaqoof asa, well i totally disagree with you, musharraf has to go, aaj jay ya kal, he has to go, pakistan or quam ki behtri isi main hay k wo jitni jaldi chla jay acha hay, aap ne new gov pe itny sary ilzam lga diy hain, mery bhai is se pehly 8 yrs kis ki gov thi??? kya ap k khyaal main 100 days main is gov ne itni loot maar ker li hay k ye sb mehngai or laqanooniat hogia hay???? aap insaf se kaam lain or musharraf ki mohabat main itny andhy na hojian k aap ko aik saaf cheez nzr nai aarai...musharaff ki gov main hi ye sb khraabian urooj pe thien, jis ka ab ilzam is gov ko diya ja raha hay us main in ka koi kasoor nai hay, aata musharaf k dor se mehnaga hona shuru howa tha, is k ialwa musharaff k dor ka aap 1999 k dor se zra copmarizn kerian na to aap k 14 tabq roshan hojiangy...kya isi ko traqi kehty hain ap??? traki to tb hoti na k jo prices 1999 main thein ya to wohi rehtien ya us se kam....do u remm k 19999 ,aon ata kis terha kilo tha....8rs/kg..patrol kaisy litr tha....35rs/litr..can u still beleive k MUSHRRAF k dor main itni lazawaal traqi hoi hay k jis ko dekh k insaaniat ki tareeekh moun main unglian dally khri hay?????????....mery bhai na to koi policy 100 din main change la skti hay na hi pechly gand ko saf ker skti hay...ab agr frishty aajian to i can say anything....or jahan tek nawaz shreef ki bat hay..he was disappointed by PPP, agr ppp waly mil k judges ka msla hel ker lety to i can assure u k ye sb msly na ser uthaaty..plzz plzzz musharaff ki huq main dua ker k kroroun masoom logoun k zkhmoun main nimak mat chrkain aap...aap lagta hay k ksi junnat main rehty hain jahan aap ko kuch nazer nai araha k is aik shks ne is mulk ka kis terha bera gherk kiya hay pechly 8 saal main....koi b dictator kbi b apny anjaam se nai bch skta..chy wo ayehya ho..zia ho...chili ka panoshy ho...itly ka mosoleeny ho...her aamir ka anjaam aik hi hay....bs iam waitng k kb is ka b wo anjaam ho ta k hararoun masoom logoun ki rohoun ko skoon mily jo s k hathoun begunah mary gy... |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 3:55pm |
|
|
President 5 years ke liye hota hai, Qiamat tak ke liye nahi re: "asa, well i totally disagree with you, musharraf has to go, aaj jay ya kal, he has to go"
zahir hai woh hamesha ke liye President nahi bane hai, Parliment ne unhai 5 years ke liye President banaya hai, aur woh 5 years mukammal hone par chale jaaye ge. jaha parliment ke membran ne onhai president banane ke liye vote dia tu wahe kuch logo ne vote nahi bhi dia hai. ab agar kisi ne vote nahi dia hai tu iss ka yeh matlab bhi nahi keh woh apna 5 years mukammal kiye beghair chale jaaye.
yeh tu bilkul ghalat baat hai keh agar aap ka umeedwar haar jaaye tu jeete huye umeedwar ke peeche par jaaye.
jab next president ka election ho ga tu ham bhi dekh le ge keh woh Pervez Musharraf ke muqable mai kaisa hai. 3 month mai tu ham ne dekh liya ke new hakoomat pichle hakoomat ke muqable mai kaisi hai. new president ko bhi dekh le ge. lekin jab tak new president elect nahi ho jaata mojooda elected president ko bardasht kare.
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 4:08pm |
|
|
@Bewaqoof sir g aap plzz ja k pehly 1973 ka constitution dekhian k us main gov ka head kis ko bnaya gya hay..thn aap baat kerna.....yahan ye baat nai horai hay k musharaff president 5 saal k liy bna hay ya sari life k liy..yahan baat ye horai hay k wo constitution k mutaqib president bna hay k nai....or agr aap ye smjhty hain k he has a legitimate position to b president thn to aap se is pe behas ki hi nai skti..coz aap ko smjhana impossible hay...han agr aap ye smjhty hain k he has over taken nawaz sheef's gov with out any reason (plz dont mention that pathetic airplane kidnape rezn) thn we can argue....or jahan tk 5 saal elect hony ki baat hay to mjy dunyaa k ksi mulk ki example de dian k jahan pe elected assembly is almost finishd his term and tht assembly is electing a president for 5 yrs..???/ aap nai de pain gy i can bet u!!! wesy to aap dosry members ko ekhty hain k facts pe baat kerian...but jb main ne ap ko aap k president ki traqi k facts diya to us pe aap en aik b lafz nai kaha...could you plz comment on prices which i coated from 1999??? |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 4:27pm |
|
|
Pervez Musharraf aur Qoum ki Khooshnasibi re: "quam ki behtri isi main hay k wo jitni jaldi chla jay acha hay"
yeh qom ki badnaseebi ho gi agar Pervez Musharraf 5 years complete kiye beghair chala gia. waise few logo ki khahish per pervez musharraf ko jaana bhi nahi chahiye. |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 4:31pm |
|
|
@Bewaqoof still u have not answerd my question......could you plzz give me some facts k musharaff ki dor main kitni traqi hoi hay...aap asl baat ko ghoma kuin dety hain is liy k u dont have anything to say....or jin logoun ko aap "few ppl" keh ry hain na to mohtram main un ko "awam "kehta houn..hope so u dont know the meaning of this word coz u r in love with musharraf!!!! |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 4:34pm |
|
|
Dear Sir Bewaqoof it is very nice to see on line after long time. How are you Sir. Jut want to say hello/hi, i will not participate in this discussion.thanks :) |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 4:46pm |
|
|
re: pervez musharraf & ch babar re: " still u have not answerd my question......"
bhai mere mai yaha koi sawal jawab ke liye nahi baitha hoo, iss thread mai mai ne apna opinion de dia, pasand aata hai tu theek, warna koi baat nahi. waise bhi mere daleel dene se seemi, uetian31, ch babar agree nahi kare ge. jabkeh doosri taraf sunehri, sweeti aur beshumar member dalail ke beghair hi agree kare ge.
re: " it is very nice to see on line after long time." thnks ch babar. aap bhi discussion mai hissa le, mana nahi hai. aap apna opinion de, mai apna opinion deta hoo. koi zaroori nahi keh dono ka opinion aik hi jaisa ho. hamari theory tu yahi hai keh har aadmi apni jagah sahi hai. aap apne jaga aur mai apni jagah.
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 4:56pm |
|
|
@Bewaqoof "Pervez Musharraf ke daor mai Pakistan ne ketni taraqqi ki woh sab ko maloom hy" iam coating ur line which u have given in your "opinion" ..all i am saying k kya sirf aik line likh deny se koi kam ho jata hay to main aap se facts nai maangta..baqi aap ki merzi hay k jawab do ya na do...ab ager koi hatdhermi se aik hi baat pe ara rehy to koi kya ker skta but if u realy wana use lines like above in ur "opinion" thn plz have facts ready!!!
" jabkeh doosri taraf sunehri, sweeti aur beshumar member dalail ke beghair hi agree kare ge" ......aap ki is baat ka aik hi jawab diya ja skta hay k main atlest damagh rukhta houn and i can understand wts right and wts rong.... hamari theory tu yahi hai keh har aadmi apni jagah sahi hai. aap apne jaga aur mai apni jagah. G NAHI!!! U R WRONGE...her aadmi si nai ho skta....ksi aik msly pe aik admi hi sehi hota hay....is msly pe aap youn keh skty hain k ham donoun ye smjhty hain k ham donoun sehi hain..but u can not say this k we both are right...right or wronge ka pta insan ko history se chalta hay..i hve givn u a very detail list of dictators jin ko dunya main zleel-o-ruswa hoty dekha gya hay so iam talking on facts but u nvr came up with any facts ..mjy bs dunya ki tareeekh se aik dictator nikal k bta dain k jis ko as a hero logoun ne treat kiya ho????
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 4:57pm |
|
|
nahi aap apni jaga pe ghalt hain, main pani jaga pe sahi hoon. :) participation na karne ka is liye kaha hae ke bohat kuch kaha ja chuka hae , main Musharraf pe jitna bolon ga apna he khoon jalaon ga. warna haqeeqat yahi hae ke is admi ne Pakistan ka bohat nuqsan kiya hae. jis ki talaafi shayed mumkin he na ho. is ke zimmadar woh siasatdan bhi hain jino ne Pehle din Musharraf ko welcome kiya aor 8 saal us ka sath dete rahe, no doubt pakistan main leadership ka fuqdan hae, qom akhlaqi aor maali deewalya pan ka shikar hae, aise main leader kahan se ho. sub continet ke muslim jahan kahin bhi hain problem main hain, ye mushkil kyun hae is ki tafseel main gya to baat bhi lambi ho jaye gi aor topic bhi divert ho jaye ga. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 5:10pm |
|
|
Right and Wrong har aadmi apne view ko right aur mukhalif ke view ko wrong samajhta hai. dunia mai koi bhi cheez right aur wrong nahi hai, yeh aik relative term hai. aik hi cheez agar hazaro logo ko right lagti hai tu doosre hazaro logo ko wrong. right lagne se woh baat right nahi ho jaati aur wrong lagne se woh baat wrong nahi ho jaati.
iss topic par ziadah bahas kia jaaye tu topic divert ho jaaye ga.
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 5:15pm |
|
|
ok thanks, aaj aap se baat to hoi. |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 6:06pm |
|
|
@Bewaqoof waqyee be mani behas kerny ka koi faaida nai hay,,coz aap ne to right or wronge ki defination hi change ker di hay..right or wronge ko ap ne relitive term bna diya hay...yani aap k kehny k mutabiq agr koi shaks aap se aa k kehy k (non muslim) quran naouzbillla ghalat or wronge hay to aap ki defination k mutabiq he is right...coz its a relative term..but mery bhai i will end this discusion just saying this k ksi k right or wronge kehny se wo right or wronge nai ho jata...dunya main her cheez ko perakhny k kuch asool te kiy gy hain chy wo mazahb se houn chy wo social houn....agr koi cheez un usooloun pe pooori nai uterti to thst is said to be"wronge" its not a relative term..or wesy b aap ne kbi facts ki terf ana to hay nai so aap se behas bessod hay..but let me tell you one important thing....ham future main any waly ksi event ko predict ker skty hain but ksi guzry hoy waqyy ya history pe we can critisiz based on our knowlge and experiance and we can judge either it was right or wronge....so please change ur defination of right and wronge! |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 6:21pm |
|
|
Right and Wrong aik relative term hai re: "ksi guzry hoy waqyy ya history pe we can critisiz based on our knowlge
and experiance and we can judge either it was right or wronge...."
1857: ham muslim ki nazar mai jang-e-azadi thi aur hamare mutabiq ham log sahi the, jabkeh angrezo ke mutabiq yeh ghadar (baghawat) thi aur ham log wrong the. ab aap tu apne aap ko hi sahi kaho ge na.
1971: Bangali ki nazar mai Shaikh Mujeebur Rahman Hero tha, aur non-bengali ki nazar mai woh ghaddar tha. aap non-bengali ho kar yahi kaho ge keh woh ghaddar tha, lekin poori dunia ose hero maanti hai tab hi tu poori dunia ne Bangladesh ko tasleem kia.
matlab yeh keh history bhi aik relative term hai, mukhtalif logo ki nazar mai mukhtalif hai. Karbala ke waqia ko hi le le, ketna ikhtelaf hai, karbala ke waqia ke baad aik new maslak wajood mai aaya. sab log jaante hai keh shia aur sunni maslak mai zameen aasman ka farq hai. jab keh dono maslak ke log apne apne maslak ko sachcha maslak samajhte hai aur doosre ke maslak ko jhoota. ab agar aap shia ho ge tu shia ko sachcha samjhe ge aur sunni tu phir sunni ko sachcha samjhe ge.
mazhabi aqeeda bhi aik relative term hai, har mazhab aur maslak ke log apne apne mazhab aur maslak ko sachcha aur doosre mazhab aur maslak ko jhoota samajhte hai.
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 6:42pm |
|
|
@Bewaqoof sb se pehly to main ye again wazeha ker doun k KSI AIK FRD YE KSI AIK GROUP K KEHNY SE KOI CHEEZ GHALT YA SEHI NAI HO JATI. now i will come to your points,
1857: muslaman is ko jang-e-azaadi kehnty hain....ok or is main sirf muslims nai thy saary subcontinent k log shamil thy...is aik point ki wazahat kerty hoy hamain thora sa door jana hoga or ye smjhna hoga k ksi war ko aap kaisy critically analyse ker skty hain...sb se pehly to ye clear ho k subcontinent tha kin logoun ka ....aap is bat se to agree keriangy na k gory yahan pe by force aay thy..yani k ye in ka home land nai tha...or jo yahan k baasi thy ye un ka ghr tha..ab ksi b mazahb ksi b social contract ko utha k dekhian k is baary main kya kaha gya hay k koi agr ksi k ghr pe attak ker de to us ka kya reaction hona chy..agr wo kamzor hoga to apna ghr b loose kery ga or ghulam b banyga..to kya ham is se ye nateja niklain k jis ne atatck kiya wo sehi tha??? ager aik zalim ko aap zalim kehiangy to kya aap ghalt hain ya jo zalim apny zulm or taqat k balboty pe ye kehy k iam right to kya wo sehi hay?? thn ap ko kahan se pta chlana chy k kon sahi hay kon ghalat....again u will consult either mazahab ya social contratcs from history...goroun k kehny se wo ghader nai bn jayga....kuin k gory ne taqat k balbooty pe qabza kiya howa tha..chy wo 1000 saal b rehty to b they hv to go back to their own land....so aap ki bat ko main yahin rok doun k ksi k kehny se wo sai nai ho jata....na ksi k ekhny se koi cheez ghalt hojati hay
1971: now about bungladesh....well pehli baat to ye hay k koi b pakistani jis ko facts ka pta hay or he knows history wo mujeeb ko ghadaar nai kehta...kuin k agr aap ne history perhi ho to jis bandy ko 95% vote mily houn wo ghadar nai ho skta....he was a leader of east pakistani ppl....ye sb propaganda army ne phailaya howa hay k wo or bhuto ghadar thy or paksitan unhoun ne torda etc etc..ab ham dekhty hain k aya wo ghadar tha ya wo hero tha...sb se pehly to ye smjh lain k he was from east pakistan...he always spoke for rights of ppl of east pakistan..yani jis logoun k hu ki wo baat kerta tha un ka wo hero howa...ab ye dekhna hay k aya wo huq pe tha ya jo kuch us ne kiya wo sehi tha k ghalat....in my opinoin he has done rightly by participating in elections and won majority ...thn jb us ko us ka huq nai diya gya to jo b howa wo un logoun k liy jaiz tha....kuin k un k sath zulm ho raha tha..so aap ye nai keh skty k wo ghalt tha...chand army k generaloun k propgandy ka ye mtlb nai k ham ksi ko ghalt keh dain...
or lastly aap ne jo ye kaha k mazhab aqeeda b aik relative term hay to plzz aap mazahb ko aisy mat kehian...is ka to ye mtlb howa k aap k khyaal main hamry mind k ksi kony main ye shak b hona chy k may b islam sai deen nai hay(naaouzbillah) ab agr saari dunyaa ye kehy k islam ghalat hay to kya wo ghalt hojyga...jab nabi pak ne tableekh shuru ki to kon tha jis ne ye nai kaha ..but allah ko to pta tha na k kya sehi hay kya ghalt...i will again say k ksi k kehny ya smjhny se koi cheez sehi ya ghat nai hojati....qudrat ka apna aik sehi or ghalat ka nizam hay jo her cheez ko saabit kerta hay! |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 7:48pm |
|
|
Uetian bhai Musharaf Uncle ke baray mein behas ka koi faida nahin.. Bewaqoof bhai ko aap kabhi qayil nahin kar saktay.. Us ki waja yeh hai k Bewaqoof bhai MQM se dili mohabat rakhtay hien or Musharaf Uncle ne pichlay 6 7 saal se Karachi ki hakoomat MQM ke hawalay kar rakhi hai.... MQM kaisay Musharaf uncle ke khilaaf bol sakti hai... Jab ke sab ko pata hai k Musharaf uncle kaisay hein or MQM kaisi hai.. or in ke aik dosray ke baray mein khayalaat kya kya hien... Bas Iqtadaar ki hawas ki waja se aik dosray ke saath dosti nibah rahay hein.. Warna Musharaf uncle ne tu 1999 mein keh diya tha ke "Agar mera bas chalay tu mein Altaf Hussain ke Sir pe pistol rakh ke chala doon, woh bohat bura admi hai." Is liye bewaqoof bhai se behas ka koi faida nahin hai...
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jul 2008, 8:06pm |
|
|
@seemi g seemi g i know k bewaqoof sab se behas ka koi faaida nai hay but i wont let it go just by ignoring..right now i can only raise my vioce against all this illjustice, i have told bewaqoof bhai k plzz facts k saath aien or baat ker k dekh lian thn pta lag jayga k musharaff kaisa bnada hay......khr....her aik ka view hota hay...we can just argue and let the history decide fate of musharaf! |
sweet_koha
|
Group: Members Joined: 16th Jun, 2008 Topic: 8 Post: 25 Age:
29
|
|
Posted on:11th Jul 2008, 10:02am |
|
|
Kun kehta hai k Musharaf k sat Hello dears
kun kehta hai k pakistan k 16 core Musharaf ka saat de rahe hai. Mere keyal se thu sare Awaaam 16 core iss k Kelaaf hai.
<h2>Kui Bhe leader atta hai Ek du din acha huta hai baad mai phr badal jata hai</h2>
|
|
For Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|