sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 3:33am |
|
|
6th Month Of Pregnancy:Want Suggestion?
maira 6th month hai pregnancy ka maira abdomen bar bar hard ho jata hai neechay say kafi sakht ho hojata hai aur baz auqat to mujhy bacchay ki heart beat hi feel nahi hoiti hai aisay kyoun hota hai kahin koi problem to nahi hai please ap log ye mat kahee ga k apnay gynocologist say consult karain mai regular check up karvati hon lakin ap kloogon k suggestions mang rahi hon .
Note: Don't Start 2 Topics With Similar Questions. Your Previous Similar Topic Is: Pregnancy
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 6:07am |
|
|
sobia 6th month mein belly ka hard hona bilkul normal bat hai
aisa hota hai
lekin jo heart beat wali bat ap ker rhi hain....bachay ki heart beat to wese bi ap feel nahi ker sktin....jo feel ker skti hain wo hai MOVEMENT OF THE BABY....us k liye to jub bi apko uski movement kum feel ho to foren Dr ko dikhana hota hai.... |
sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 6:28am |
|
|
zeb brother mujy to sirf heart beat feel hoti hai koi movement feel nhi hoti hai aisa kyoun hai ?koi paraishani wali baat to nahi hai na ?
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 6:34am |
|
|
sobia dear main keh to rha hun k jo ap feel kerti hain...wo bachay ki heartbeat nai hoti ho gi balke movement hoti ho gi...
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 10:01am |
|
|
sobia777 zeb bhai bilkul theek keh rahe hain aap khud se baby ki heart beet nahi feel karsakti . lagta sab ko aise hi hai lekin wo heart beat nahi hoti 1st time chunke experience nahi hota is liye baby ki movement ka itna andaza nahi hota k kab start hui or kis waqt hui baz bache neeche ki taraf hote hain aisa weekness ki waja se bhi hota hai or paon k bal beth kar kaam karne ki waja se bhi. aap kissi bhi muamle mai preshan na hon agar aap regular chekup k liye jati hain to. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 10:06am |
|
|
sobia abdoman tab bhi hard hota hai,jab bacha andar hillta jullta hai...
aur ap yaqeena heart beat nahi mehsoos karti hongi wo bache ki movement hi hogi...abhi ye start hai...bad me jab bache ke movement barhti jayegi to ap zyada asani se samajh jayengi....is me Pareshani wali koi bat hi nahi hai |
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 4:57pm |
|
|
ajeeb baat janab yeh to ajeeb hi baat hui hai, aik namumkin si baat. doctorji is agreed with maryam. hehe
maryam sahiba ki post baar baar parhiye aur aakhri fiqreh ko ba-awaaz buland khud hi parrh kar suniye. ;-)
|
sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:28th Jun 2008, 6:12am |
|
|
thanks shukaria |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:28th Jun 2008, 6:18am |
|
|
sobia u r welcome |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:29th Jun 2008, 6:40am |
|
|
doctor ji mai ne jab is topic mai aap ka naam parha to mai ne isse khola nahi kiyon k mujhe pata tha k hamare replies nahi milte lekin aap ne to kamal hi kar diya hai aap to such much k doctor ji hain lol |
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:29th Jun 2008, 8:50am |
|
|
shukar hai chalo ji shukar hai kissi ne to certificate issue kiya ke main bhi doctor hun, warna saari zindagi main issi shak me hi rehta ke hun bhi ya nahi. hehe |
|