sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:10th Jun 2008, 1:53am |
|
|
I Am 5 Month Pregnant: Why My Leg Jamed?
it's my fifth month of pregnancy. maira aksar ek paoon jam ho jata hai matlab ye k ek hi jaga ruk jata hai aur agay peechay nhi hota jaisay sun ho gaya ho jaisa maira ek paon nakara h chuka ho mijy do banday mil kar chalatay hain phir thori dair k baad normal hota hai aisa kis waja sa hota hai aur kyoun hota hai ?
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:10th Jun 2008, 3:07am |
|
|
sobia ap apni ladydr ke pas jayen,ap ko koi medicine dain..i think ye magnesium ki kami ki wajah se hota hai..aur ap apni taangain niche ko latka kar na baitha karain balke kabhi kabhi jab araam kar rahi hon to paun ke niche koi sarhana rakh lain jis se apki tangain upar ko hon...
baki apko yahan dr better bata sakte hain aisa kyun hota hai.. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:10th Jun 2008, 3:23am |
|
|
sobia yes im agreed to sunehri
pregnancy mein ek hi jaga per ziada der tak khara nai hona chahiye aur na hi ek hi jaga per ziada er tak betheyn
position change kerey rehna chahiye....aur tangeyn latka ker to bilkul nai bethna chahiye....
walk bi kerni chahiye her wakt letey rehna ya bethey rehna bhi sahi nahi hota,....
behter hai k ap apni Dr ko zaroor dikheyn...wo apko koi achi medicine dey deyn gi |
sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 1:40am |
|
|
any body else koi aur jo mujhy aur advise kar sakay doctor k pas to mai routine checkup k lye jaon ge hi but abi ap log mujy kia answer day saktay hain |
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
27
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 1:44am |
|
|
Sobia Baji ثوبیہ باجی! آپ کو سنہری باجی نے صحیح مشورہ دیا ہے۔ ڈاکٹری مشورے کے لیے آپ ڈاکٹر پاکستان یا ڈاکٹر جی کے جواب کا انتظار کیجیے۔ انشاء اللہ آپ کو تسلی بخش جواب مل جائے گا۔ |
sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 8:39am |
|
|
seemi seemi ji abi tak to mujy doctors ka jawab nhi mila hai ab aur kitna intizar karna paray ga ?
|
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:12th Jun 2008, 8:57am |
|
|
re: leg jaam and pregnancy pregnancy ki wajah se weight mai izafa hota hai, ziadah der kisi aik jagah baith jaane se waha ki nerve per dabao perta hai aur woh sun ho jaati hai. yeh aik normal baat hai. iss mai pareshaani ki baat nahi hai, aap har thori der baad apni position change kerti rahe, yeh problem nahi hoga. agar phir bhi ho tu apni family physician se mashwarah kare. |
sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 56 Post: 179 Age:
23
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 8:41am |
|
|
leg jamed mujy ziyada tar suba suba hi ye hota hai waisay din mai kbi koi khas masl anhi hai |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 12:32pm |
|
|
re: leg jammed din mai iss liye nahi hota keh aap din ke waqt kuch na kuch harkat kerti rehti hogi. subah subah hone ki aik wajah samajh aati hai keh aap kafi der tak aik hi position mai leti rehti hogi.
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 1:52pm |
|
|
sobia777 aap ko shayad vit B complex ki deffeciency hai is mai legs or arms jam hojate hain specially so kar uthne k bad. aap apni lady doc se baat karen is ka behtar hal wohi batae gi kiyon k doc case history janti hai waise b comp k liye us k inject lagae jate hain |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 5:31pm |
|
|
agree with maryam Vitamin B compex ki kami se nerve ki problem hone lagti hai, isi liye doctor hazraat aisi condition mai Vitamin B complex ka ijection lagate hai ya tablet prescribe kerte hai. mera bhi yahi mashwarah hai keh docotor se consult kare, ho sakta hai keh woh Vitamin B comlex aap ko prescribe kare. waise bhi Vitamin B complex ka injection lagane ya tablet khaane mai koi haraj nahi hai, iss ke nuqsaanat (side effect) ke kam chances hote hai.
|
|