Kabhi kabhi jism mei kisi khas gland ki kar kardagi mei kharabi hojati hai to os ka asar doosray gland per bhi hota hai is wajah se baizadani per bhi bura asar per sakta hai jab baiza dani theek se kam nahi kerti tu mahwari beqaida aur kam ho jati hai kabhi kabhi motapay hi ki wajah se jism ke gland mei tawazan nahi rehta agar wazan barh raha hai tu pehle wazan ghatane ki koshish karain ghiza mutawazan karain aur warzish karain. mahwari ky wqt jism mei susti sar dard waghaira tu aksar aurto ko ho hi jata hai is ke liye pareshan na ho wazan kam hone se ho sakta hai tamam takleefain az khood hi door ho jaain.
Motapa Aur Beqaida Mahwari - Noor Clinic