Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire - Jinsi Khwahish Ki Kami Ki Medical Wajohaat 3  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
17119
 
Low Libido Physical Reasons - Lack Of Sexual Desire

  4. Adviyaat (medicines)

    Ba'az adviyaat kay musalsal istaemaal sey bhi jinsi khwahish (libido) ka masla paeda ho jata hai, birth control ki adviyat kay musalsal istaemaal sey yeh masla paeda ho sakta hai agarcha adviyaat ka asar tamaam afraad per ek jaisa nahin hota. Kisi per kam aur kisi per zyada aur kisi per bilkul nahin hota iss surat mein dawa chorney ki bajaey doctor sey raabta kya jaey taa' kay woh koi mutabadil dawa tajweez kar sakey jo jinsi khwahish (sexual desire) ko muta'assir na karti ho.

 

  5. Hamal Aur Bachey Ki Paeda'esh (pregnancy and childbirth)

    Hamal kay doran aur bachey ki paeda'esh kay ba'ad bohut si aurton ki jinsi khwahish (libido) kam ho jati hai hamal kay ibtedaee dinon mein ba'az khawateen matli mehsoos karti hain jis ki wajah sey jinsi khwahish (sexual desire) kam ho jati hai. Bachey ki paeda'esh kay ba'ad bhi aurat jinsi dilchaspi mein kami mehsoos karti hai aur yeh masla do maah sey do saal tak reh sakta hai. Bohut si khawateen bachey ki paeda'esh kay ba'ad depression ka shikar ho jati hain aur yeh depression jinsi khwahish mein kami ka sabab ban jata hai ba'az auqaat bachey ki paeda'esh operation sey hoti hai aur zakhm mundamil nahin hota jis ki wajah sey jinsi dilchaspi (libido) mein kami waqa'e ho jati hai.

 

Jinsi Jazbaat Ki Bahaali

    Jinsi jazbaat ki bahaali kay liye zaroori hai kay sab sey pehley yeh ma'aloom kya jaey kay masley ki wajah kya hai jab wajah ma'aloom ho jaey to masley ko hal karna aasaan ho jata hai.

 
 
<< Next       Prev >>
191192193194195196197198199201200
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012