khawateen kay liye bhi iss tarah kay seminar ka iniqa'ad karein. Iss per ghour o fikr kiya to mehsoos hua kay humarey mua'ashrey mein abhi iss tarah kay seminar ki gunja'esh nahin. Waise bhi mere liye mardon ki tarah khawateen kay sath azdwajii masa'il per khul ker guftugoo karna mushkil hai doosri taraf haqeeqat yeh hai kay agar khawateen ko azdwajii zindagi kay hawaley se zaroori ta'aleem de di jaey to na sirf mardon ko koi jinsi masla darpaesh nahin hoga bul kay khawateen bhi apney azdwajii masa'il khud hi aasani se hul kar sakein gii. Iss tarah azdwajii zindagi bohut khushgawar ho jaegi aur ghar jannat ka namoona bun jaega. Ghareloo jhagro'n aur talaq ki ek bohut bari wajah khawateen ki jinsi na'aasoodgi hai iss masley ko khawateen khud hi aasani se hul kar sakti hain, ba shart e kay unko zaroori ma'aloomaat faraham kar di jaein isi zaroorat kay tahet yeh kitab likhi gaee hai.
Taa'hum ek maktaba e fikr ka khayal hai kay khawateen o hazraat ko iss tarah ki kisi ta'aleem ki zaroorat nahin, kyun kay woh dono'n fitri tor par jantey hain kay unhein kya karna hai. Aap eemaan daari se apna jaeza lein aur dekhein kay fitri tor per aap iss kitab mein di gaee kitni ma'aloomaat se pehley hi aagaah thiin taa'hum iss maktaba-e-khayal kay log iss baat ka jawab nahin detey kay agar ta'aleem ki zaroorat nahin hai to masa'il ka hul kon nikaley ga aur kaise bataey ga.
Yeh kitab bunyadi tor per khawateen kay liye hai magar aurton ki azdwajii zarooriyaat se behter aagaahii hasil karney kay liye mard hazraat ko bhi isey zaroor parh lena chahiyie taa kay woh un ki zarooriyaat ko behter tor per poora kar sakein. Hum ne koshish ki hai kay khawateen kay har masley ka aasaan hul paesh karein taa'hum agar aap ka masla iss kitab mein mojood nahin to phir aap mujh se phone per ya clinic mein raabta kar sakti hain.
|