Ahl-e-elim kay naazdeek iss hadees ki koi haqeeqat nahi. Yeh ek zaif hadees hai.
2. Wazan Kam Rakhain
Koshish karein ka aap ka wazan ziyada naa ho. Ziyada wazan amomi sehat kay elawa jinsi sehat kay liye bhi nuqsandey hai. Motapa ki wajah sey sperm mar jaatey hain aur mardanaa quwat mein kami ajaati hai.
3. Cigarette Noshi Aur Mardana Quwwat (Smoking And Sexuality)
Cigarette noshi (smoking) sey mukammal perhaiz karein. Yeh tanau (erection) ki bohut bari dushman hai. Iss sey amomi sehat kay elawa tanau (erection) aur mardana quwwat (sexuality) bhi muta'assir hoti hai. Iss sey blood ki naaliyen tang hojaati hain jis ki wajah sey yeh to tanau (erection) hota hi nahi yeh kam hota hai. Iss kay elawa Cigarette noshi (smoking) sey zakar ki lambai bhi kam ho jati hai. Jinsi harmone (sexual hormone) testosterone ki paidawar mein kami hojaati hai jis ki wajah sey naa mardi (impotency) ki khatra dugnaa hojata hai. Cigarette chornay kay 2 sey 12 weeks kay ander har cheez normal hojaati hai. Cigarette noshi sperm ki count ko bhi kam karti hai. Mani (semen) ki miqdar kam ho jati hai. Iss ki wajah sey khusyon mein infection aur paet etc bhar jata hai jis sey early inzal ka masla bhi paida hojata hai.
4. Sharab Noshi
Jadeed research sey maloom hua hai ka Cigarette noshi (smoking) kay saath saath sharab noshi bhi mardanaa quwat ko kam karti hai.
|