Doctro Kegel ney P.C muscles ko mazboot karney kay liye ek mushq tajveez ki jo kay isi kay naam Kegel Exercise sey ma'aroof hai. Yeh mushq mardon aur aurton donon kay liye mufeed hai. Mushq kuch youn hain.
Kegel Mushq (Kegel Exercises)
Kegel mushq mein ek khas qism kay muscles ko mazbut kya jata hai. Yeh anus kay muscles hotey hain. Agar aap ko rafa e hajat ki zaroorat ho magar kisi wajah sey aap bathroom nahi ja saktey to note karein ka isey kaisey control kartey hain, Kin muscles ko bheenchtey hain. Yeh P.C muscles hi hotey hain. Jin ko bheench kar aap apney bol o baraz ko control kartey hain. P.C muscles ko behtar tor per janney kay liye bathroom mein jaien. Peshaab karein phir isey 3 seconds kay liye darmiyan mein rok lein aur chor dein. Phir 3 seconds kay liye rok lein aur chor dein. Ek din mein subha, dopahar aur sham 3 bar 10, 10 minute kay liye Kegel mushq karein. Note karein kay aap kin muscles ko bheench kar peshaab ko roktey hain. Achi tarhan janney kay baad phir inhi muscles ki mushq peeshaab kiye baghaer karein. Kegel exercises bethey, kharey aur laetney ki halat mein bhi ki ja sakti hai.
First Week:
-
Yeh mushq din mein 3 times subha, dopahar aur sham karni hai.
-
Ek mushq mein 5 time P.C muscles ko bheenchna hai.
-
Ek dafa inn muscles ko 3 sec kay liye bheenchna hai.
|