Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Post micturation dribble. Peeshab kay baad qatrey. Aksar naujawan drops after urine (qatron) ki shikayat kartey hain aur na sirf kamzori mehsoos kartey bul kay kapron ko napak samajh kar namaz nahi parhtey hain.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Post Micturation Dribble - Drops After Urine - Peeshab Kay Baad Qatrey  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
111180
 
Post Micturation Dribble - Drops After Urine

Qatrey (Post Micturation Dribble - Drops After Urine): 

    Aksar  naujawan qatron ki shikayat kartey hain. Aisey naujawan na sirf kamzori mehsoos kartey hain bul kay kapron ko napak samajh kar namaz nahi parhtey hain. Yeh qatrey (drops) kiya hain? Jab bhi koi shaks specially unmarried naujawan sex kay hawaley sey sochta hai, tasawwur karta hai ya jinsi baat sunta hai ya koi jinsi book parhta hai. Nude picture dekhta hai ya jins e mukhalif ko dekhta ya uss sey baat karta hai to jinsi haejan ki wajha sey iss kay penis sey white laisdar liquid kharij hota hai. Yeh liquid kabhi tanau (erection) kay sath kharij hota hai jab kay aksar shahooat aur tanau kay baghair hi kharij hota hai. Yeh essi tarhan hai jis tarhan mithai ko dekh kar insan kay mu'nh mein pani bhar ata hai. Mani (semen) ki thaeliyan usually 3.5 days kay baad bhar jati hain aur agar kaee din mani (seminal fluid) ka ikhraj na ho to mamooli jinsi haejan ki wajah sey yeh thailiyan sukarr kar mani (semen) kay 1 ya 2 qatrey (drops) baghair lutf kay kharij kar daiti hain. Yeh koi beemari ya khatarnak cheez nahi aur na hi iss ka kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat hain. Kyun kay mani (seminal fluid) koi qeemti cheez nahi. Thook jitni qeemti hai. 

    Aksar yeh qatrey (drops) mani (seminal fluid) ka bajai prostate glands sey nikalney wala liquid hota hai. Yeh liquid kisi ka zyada aur kisi ka kam nikalta hai. Issi tarhan yeh liquid kisi shakhs ka garha aur kisi ka patla hota hai. Kuch neem hakeem iss ko bhi jiryan kahtey hain aur naujawanon ko bey hud khaufzada kartey hain kay iss sey naujawan jinsi tor per kamzor hojata hai aur shadi ka qabil nahi rehta. Research sey maloom hua hai kay yeh liquid aik khaas hikmat kay tehet kharij hota hai.

 
Post Micturation Dribble - Drops After Urine - Peeshab Kay Baad Qatrey
 
<< Next       Prev >>
8384858687888990919293
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012