Mard Kay Inzal (ejaculation) Kay Baghair Bhi Bacha Paeda Hosakta Hai:
Usul to yeh hai ka mubashrat (Intercourse) kay doran jab insan ka inzal (ejaculation) hota hai to mard ka sperms fallopian tube mein pohonch kar hamal (pregnancy) ka sabab bantey hain. Magar baaz auqat mard kay inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho sakti hai. Iss ki sorat kuch youn hoti hai kay inzal (ejaculation) sey pehley penis sey ek khaas liquid kay 1 ya 2 qatrey (drops) kharij hotey hain. Baaz auqat iss liquid mein sperms bhi hotey hain. Chunachey insan jab mubashrat (Intercourse) kay doran inzal (ejaculation) nahi karta magar yeh qatrey (drops) nikal jatey hain jiski wajah sey baaz auqat inzal (ejaculation) kay baghair bhi aurat pregnant ho jati hai. Agarcha iss kay imkanat bohut hi kam hai. (Hyde)
Kya Mani (seminal fluid) Ko Mehfooz (Store) Kya Ja Sakta Hai?
Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam tasawwur yeh hai ka mani (seminal fluid) ko store kiya ja sakta hai. Iss sey insan ki taqat mahfooz rahey gi. Haqeeqat yeh hai kay duniya mein koi bhi shakhs seminal fluids ko store nahi kar sakta kyun ka yeh musalsal banti aur kharij hoti rehti hai. Glass bhar janey ki sorat mein agar iss mein mazeed pani dala jaey to zahir hai kay pani gir jaey ga. Issi tarhan seminal vesicles bhar janey kay baad inzal (ejaculation) ka taqaza kartey hain. Yeh theliyan amooman 3.5 din kay baad bhar jati hain. Phir agar insan shaori tor per mani (seminal fluid) kharij nahi karey ga to yeh ehtelam ki sorat mein ghair shaori tor per kharij ho jaey gi.
|